Sehalata hua pyaar se har taraf woh mujhe
Mehasoos karta kabhi to pyaar woh mujhe
Sparsh ke aalingan mein baandh woh mujhe
Kaaya se kaaya milkar geet kuch yun uljhe
Mastishk mein ek dhun jaise bankar suljhe
Ehasaas se bhare pyaale yun pyaas bujhaye
Jo harpal sochne per bhi wohi ras pilaye
Na bolkar, na deekhakar koi rijhaye
Na gaakar na banaakar ye samajh aaye
Na kisi proudhyogiki (technology) uplabdh karaye
Ek ehasaas jise sirf choohkar mehasoos karaye
Ek anant sukh jo sirf ek 'SPARSH' dilaye!!!
~ fiza
No comments:
Post a Comment