Tuesday, November 27, 2012

Deewani hui jaati hai teri ae chand mere dilbar


Pukarta chala woh mujhe badalon ki god mein,
Jab main sharmane lagi to odha diya badal mujhe

Leharati hui hawaon se sehalane laga meri zulfein
Jab jhatak kar bhagne lagi to khench liya mujhe

Lajati-sharmati ose mehasus karne lagi mein dheere
Jab kaskar osne tham liya bahon mein mujhe

Thar-tharati hui meri saansein chalne lagi tez
Jab chedha osne mere kanon ki bali sang mujhe

Kanpti reha gayee aise jaise asmanjas mein
Jab osne dheere se mukhper chuma mujhe

Qayamat ki ek lehar uthi dil mein aise
Jab ek huye hum, aisa ehasaas hua mujhe

Ab to saare ilaaz kar chuke hakim-vaid
Rog hai ya nahi magar le jayega sath mujhe

Deewani hui jaati hai teri ae chand mere dilbar
Jab dekhti hai tujhe 'fiza' takhte huye mujhe

~ fiza

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...