Sunday, March 31, 2013

Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein



Sehar se shyam bandhein
Shyam se sehar kasam mein
Yehi rehaguzar  tamanna mein
Chand aur sehar doobe rahein
Boondein woh kan-kan mein
Samaye aise mere zehan mein
Jaise ankuriya phute jiyara mein
Bhige raste, bhiga aanchal mora
Simate huye armaan bhiga chehara
Tarasta hua rahi pyasa man bhaya
Choomkar pyaas bhujaye kanwara
Kam na kare nazaron ke teer maarna
Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein
Jahan kaale badal kare puhaar
Machal jaye mora nadaan jiyara
Apni dhunki mein rahe woh is pal
Jee le tu phir kab kisne dekha kal

~ fiza

Tuesday, March 19, 2013

Zindagi Ke Kareeb Hoon Aise!


Dil nasaaz sa raha kuch din 
Bujha-bujha sa ojhal mann
Badalon se dhaka aasmaan
Waheen, kaheen chipa chaand 
Nis din mein karun uska intezar 
Kabhi to bujhegi milan ki pyaas
Udasiyon mein dooba mann
Rangon se bhara ye mausam
Berang sa phir kyun lage chaman?
Soch mein duboon mein nisdin
Phulon ki bahaar har taraf
Panchiyon ki cheha-chehahat
Barish ki girti tap-tap boondein
Paas humein le aaye aise
Jaise phir kab milungi us se
Dekh aankhbhar samaya mujh mein
Uski bahon mein nisaar ho shaam jaise
Thaki -haari phir bhi zindagi ke kareeb hoon aise!

~ fiza

सुना है इलेक्शन बस एक खेल है !!

  हर तरफ एक खौफ सा माहौल है  सुना है इलेक्शन का ये सब खेल है  अब तक इतनी उत्तेजना नहीं थी कभी  फिर आज-कल में क्या होगया ऐसा ? सुना है इलेक्श...