Ankhon mein basi hai ek nazar

Ankhon mein basi hai ek nazar Jo dil per kare hain yun basar Ojhal hone per bhi nazaron se Rehata hardum meri hee nazar Aayine sa khila chehara zaroor Aankhon ki geharayee darbadar Jhankti sochne per karti majbur Kar deti hai deewana mujhe is kadar Saans badhti hai dekh uski qatil nazar Jeene ki aas badhaye pal marne ki kasar Ajab kissa hai khel rahe ye nazar Dil ki halat horahi hai kamzor magar Badhte armaan ho rahe faasle kamtar Nazdikiyon ka sama yaad aata hai dilbar Mulaquaton ka ho na ho silsila chala hai agar To mudke na dekhein ab kisi nazar Pyaar ki mastiyon mein gotte kha rahein humsafar Yun hee makhmali aadaon se dekhte raho dilbar Ke chaand ke bahane aajaate ho usmein nazar ~ fiza