Friday, December 06, 2013

Chipa tera aks mehtab hai khila dil mein



Sard raaton mein kaale badalon mein
Chipa tera aks mehtab hai khila dil mein

Saanson ki dhak-dhak pareshaan raaton mein
Pehachaane chehare housla bhare dil mein

Woh pal jo na guzra rahoon intezaar mein
Uske jaate hee fikar chumne lage zameen mein

Bankar thi ajnabi magar gayee thi gulistaan mein
Do-chaar phul the utha layee unhein dil mein

Nikalkar jab nazar padi aasman mein
Dekh chand pighal gayee mohabbat dil mein

Jo guzar gayee woh sama bandha dil mein
'fiza' mehasus kare mustaqbil intezaar mein

~ fiza

Monday, November 11, 2013

Khush hai ‘fiza’ ab har pal mausam ki chamak mein



Har saal ki tarah ye saal bhi jaane wala hai
Kaheen ek khushi hai jo naya saal dene wala hai!

Iss saal ne kuch kam nahi diya khushi mujhe
Har ek pal ko zindadili se jiya hai meine!

Jaise –jaise saal beete waise-waise dost hain meine jeete
Umr ka to pata nahi, magar dost umr se bhi hai jyada mere

Khushiyon ke rang bhi kabhi gine jaate hein bhala?
Dost to dost umr bhi bhala sharma gaye hain ab to!

Mein na kehati hun, saal ko aane aur jaane do bas
Rukna nahi iski ginti ki jhunjhalahat mein kabhi

Zindagi hai ek safar jiska naam hai chalte rehana
Dil aa bhi gaya kabhi to naam na lo yahan theharna

Har pal ko jee lo akhari samajhkar mere yaar
Zindagi khud tumhare sang jhumne ko rahegi bekaraar

Khush hai ‘fiza’ ab har pal mausam ki chamak mein
Jaan jo gayee jeena hai to sirf issi ek pal mein !!!

~ fiza

Tuesday, October 08, 2013

Zamin pe rehakar aasman ke chand se ki hai mohabbat



Zamin pe rehakar aasman ke chand se ki hai mohabbat
Dekh ye geharayee iski duri mein ya meri mohabbat

Dur se koson baith dekhta hai sabhi ko, meri mohabbat
Kya jaane kisi ek se karna kya hota hai mohabbat

Zhilmil sitaron sang ankhmicholi dur yahan mohabbat
Kabhi khayaal aaya dekh aayein apni mohabbat?

Man he man khush hote ho dekh tarasati mohabbat
Tum bhi kya yaad karoge humse hee hui hai mohabbat

Deep jalkar bhujh jati hai so hai patange ki bhi mohabbat
Mein tab tak takhti hun ‘ae Chand’ jab tak na ho rubaroo mohabbat

Kayee sune aur dekhe honge opar se tune mohabbat
Ek he hai ‘fiza’ jo kayal aur kabil hai teri mohabbat ;)

~ fiza

Tuesday, October 01, 2013

Kaati hai ulfat mein yun zindagani...





Kaati hai ulfat mein yun zindagani
Har shaks nasihat de samajh nadani

Khaomshi se kaat rahe zindagi ka charkha
Na jaane kyun log kaath rahe sooth apna

Har koi eham ka pala-badha akkal se
Sochne ka waqt raha ab kisko-kis se

Hoti hai yun bhi ulfat ke afsaane
Pyaar se do lafz keha lo lage uktaane

Ganimat hai samajhta nahi uske tevar
Tum nahi badloge yehi socha der-saver

Waqt aagaya hai ‘fiza’ kamar kaslene ka
Ek aur baar sahi sarfaroshi ki tammana ka

~ fiza

Wednesday, September 11, 2013

Mere housle ki neeV tum ho


Shyam ki godhuli mein
Jab man anayas ghabaraye
Tum hamesha nazar aaye!

Andhere ki chadar dheere
Jab odhe parbaton ko tab
Tum hamesha nazar aaye!

Nisha ki god mein jab ravi aaye
Kaheen dur ose mera man khoje
Tab tab tum hamesha nazar aaye!

Har andhkar ke bad usha aaye
Har nirasaha ke baad asha laaye
Tum hamesha nazar aaye!

Mere housle ki neeV tum ho
Meri mohabbat ki justaju tum ho
Har mausam ki khushbu tum ho
Tabhi to har pal, har din dil mein
Tum he hamesha nazar aaye!!

~ fiza

Tuesday, August 27, 2013

Sun raha hai na tu...!



Sun raha hai na tu
Kis tarah tarasaye mujhe tu
Khush hun sath hai mere tu
Dur se de raha sahara tu
Ji loongi mein is aasare he
Khil raha hai yun aasman pe tu
Besabar kar raha hai tu
Khamoshi mein bhi magar tu
Dil khila raha hai tu
Becheniyan barha gaya hai tu
Intezaar rehata hai harsu
Sun raha hai na tu!

~ fiza

Wednesday, August 07, 2013

Eid Mubarak Doston...



Roz hain takhti aankhein ose
Roz dil ki baatein hoti hain
Dur se hee woh dekhe humein
Badalon se to kabhi darakhton se
Nazaron ke nazaron se hee milte
Ho jaati hain eid hamari
Amavas ke kathin rozon ke baad
Dil ko ek raah mil jaati hai deed per
Jab chahain hum EID mana lain,
Chaand hamara apna hai
Nikhar aajati hai har taraf 'fiza'
Deed jab mere chaand ki hoti hai!

~ fiza

Monday, July 08, 2013

Us muquam tak aa khari hoon...!

Is muquam per aa khari hoon
Har baat ghalat hee kyun lagta hai!

Jise bhi chaha dil se kambakht!
Usi se iljaam bewafayee ka milta hai!

Us roz ka intezaar khud ko bhi
Jab kisi roz jaan humein leta hai!

Jab tak woh jaan lein waqt-be-waqt
Saans bewafa ho nikale hai!

Sirf itna hee kasoor tha dilbar
Chaha tootkar use jo bhul jata hai!

Us muquam tak aa khari hoon
Jahan har baat 'fiza' ghalat hee karti hai!!!

~ fiza

Sunday, June 23, 2013

Kuch dur kaheen koi aahat si



Kuch dur kaheen koi aahat si
Nazar aati hai parchayee si
Asmanjas aur vidambana si
Kabhi saans ke thamne si
To saans ke jhat chalne si
Kaale badalon ke ghirne si
To barasane ki dhamki si
Ek gumraah karne ki chaal si
Manhus waqt ke saajish si
Mere peeche woh ghumti si
Kisi bhavandar mein phisalne si
Ehasaas na sirf ehasaas si
Zindagi se juda hui si
Ek woh pal bhi aaya
Jab meine use juda kar diya
Haan! aise meri mrityu si
Meine seene se laga liya
~ fiza


Translation may not bring the essence however... :)

A noise from far somewhere 
looks like a shadow
looks like dilemma and confusion
sometimes as if breath is stopping
at times it feels as if breathing
like how the black clouds have covered 
or as if about to rain 
as if a game plan to misguide me
a game plan to create a bad time
as if running behind me
as if slipping into a whirlpool
feelings are not mere feelings as though
parting with life
that moment also came in
when I parted it from me
yes, just like my death
I embraced it with my heart
~ o ~

Sunday, June 16, 2013

Dil jalta hai kyun sochkar kisi ki aahon ko















Dil jalta hai kyun sochkar kisi ki aahon ko
Kya jo mera hai woh mera nahi, jo fikr ho?

Mohabbat to meri hai wafa yehi kehati hai jo
Phir kisi aur ke haathon na phisal jaaye vo?

Sochti hun pyaar jab uska ek ho jaati hun to
Bhulkar sab shikve-gile toot ti hun pyar se jo

Sautan aajatein hein khayaal phir manmaani vo
Til-mila jaata hai kaheen mujhe to na bhule ho?

Barson ka pyaar hai saath hai ke likh pade ho
Phir dil kyun aaj bhi ghabaraye huye se ho?

Kis tarah sabse juda kar le chalun apne saaye ko
Aisa sochkar bhi dar lagta hai iss shayara ko

Jo mera hai wohi lautkar paas aaya hai to
Baharon ke mausam 'fiza' ko barkarar rakhein to!!

~ fiza

Sunday, June 09, 2013

Kis kadar marte hein tum per ab jaana!














Tujh se juda hokar humne pyaar jaana
Kis kadar marte hein tum per ab jaana!

Paas hote ho to sab accha hai yehi jaana
Duriyon se virah ki jalan ko ab pehachana

Kaise kaatein ye palchin ye batao jaana
Purane dino ko sochkar dil ka bhar aana

Ashru bahe dekh un tasveeron ko jaana
Pal - pal yaad aaye beete dino ko maana

Khush thi 'fiza' jab tum mile beech raah jaana
Bas laut te waqt unheen dino ko sath le laana

~ fiza

Thursday, June 06, 2013

Mujhe kaheen aur dastakh dena hai lekar pemaane!!






Kuch fasile bane aur kuch khud bune
Accha yehi hai jo bhi bane khud bune
Fasilon ka bhi kya khub hai jo jaane
Kab kis tarah fasilon se anjane bane
Bhul gaye taiy kiya hua rasta kaise jaane
Duriyan dekh samjhe ajnabi jaane-pehachane
Ek roz milenge kabhi phir nazdik kab jaane
Tab yaad gar kuch aaye to lage pehachaane
To salaam - dua karna na bhulna begaane
Waqt ho chala hai bahut yahan mere parwane
            Mujhe kaheen aur dastakh dena hai lekar pemaane!!!

~ fiza

For those friends who like to read my poetry but don't understand the language here is a bit of it's taste in English:

Few distances came in and few were made in
It's good that whatever happened it happened by itself
What to say about the distances also, those who know
When one didn't realize about the distances
How did one forget the distances that were made
Distances are telling now how known became stranger
one day will meet sometime close by.. when I don't know
Remember if you recognize then
Don't forget oh stranger to say "hello"
It's been a long time that you have been here like a moth
I need to knock somewhere else with my glass of wine

Saturday, May 18, 2013

Zindagi aaj zindagi se mila aayee humein...


Zindagi aaj zindagi se mila aayee humein
Ab tak jiye woh khawabon mein jeete aaye

Nanha bachpan jisne na chorha humein
Aaj tak sath nibha raha sang leke jiye

Ek gharonde sa sajake rakha dil mein humein
Woh aam, gili-danda khelte haste na samaye

Dost ghuma laaye un galiyon mein humein
Jahan barson humne rehakar bachpan bitaye

Sath kisi ka rahe na rahe housla hai humein
Rasta-rasta liye har pal bachpan ke woh diye

Jee rahe wohi bachpan aaj sang liye humein
Bachpan se hee hum bachpan mein hee rahe

Mein khush hoon 'fiza' jannat naseeb hui humein
Sabhi se milkar dil saaz-e-bahar khusbu bikharaye

~ fiza

Tuesday, May 07, 2013

Kab, kaise is seep mein moti ban gayi







Rishte banakar kabhi judi nahi
Rishton mein azaad rehakar khush rahi
Gham se rishta yun jud gaya mera
Kabhi kisi ke pyar ki arzoo na rahi
Kab, kaise is seep mein moti ban gayi
Aaj apnon se dur, tilmila main rahi
Kab rishton ki god mein yun so gayi
Kisi ke pyaar mein khushbu see reha gayi
Ab azaad rehane ki jigyasa he na rahi
Main khush hun ke seep mein reha gayi
Rishton ke bandhan ke sukh ko samajh gayi
Chand ki khamoshi mein pyar ki geharayi nap payi

~ fiza




Saturday, April 27, 2013

Ae, Chand tuhee mera rehaguzar....



Tera akelapan aur teri lachari dekhkar
Tujhe dil se chaaha teri sadgi dekhkar

Teri shanth abhivyakti ko dekhkar
Sametna chaaha bahon mein lekar

Mujhe kisi ki surat nahi aayee nazar
Ae, Chand tuhee mera rehaguzar

Log aayenge jaayenge yahan magar
Tere jaisa na hoga wafadar koi magar

Duniya havas ki hai hardum shikaar
Tere sanidhya mein hai mera ikraar

Khush hun, dekh saki aankhein kholkar
Saccha pyaar hai chaand mein beshumaar

~ fiza

English Translation Version of the above Poem
On request from my Non-Hindi friends ...this is for YOU


Looking at your loneliness and helplessness 
Liked you for your simplicity
Looking at your calmness
Felt like embracing you
I didn't see anyone's face in you
Oh, moon you are my companion
People will come and go here, still..
No one will be faithful like you

People are bitten by the greed
But I like to be in your shelter
Am happy that i could see this with my open eyes
As there is ample of love in you, my moon

Monday, April 01, 2013

Aaj mein yehi kehana chahoon


Aaj mein yehi kehana chahoon
Ke tere dil mein nichodkar mera lahoo
Kar de iss qadr laal honthon sa
Jo na tu tu rahe na mein mein rahoon
Bas lahoo ke rang ki tarah aaj mein tujh se mil jaaoon
~ fiza

Sunday, March 31, 2013

Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein



Sehar se shyam bandhein
Shyam se sehar kasam mein
Yehi rehaguzar  tamanna mein
Chand aur sehar doobe rahein
Boondein woh kan-kan mein
Samaye aise mere zehan mein
Jaise ankuriya phute jiyara mein
Bhige raste, bhiga aanchal mora
Simate huye armaan bhiga chehara
Tarasta hua rahi pyasa man bhaya
Choomkar pyaas bhujaye kanwara
Kam na kare nazaron ke teer maarna
Ghayal hui jaati hai 'fiza' iss rut mein
Jahan kaale badal kare puhaar
Machal jaye mora nadaan jiyara
Apni dhunki mein rahe woh is pal
Jee le tu phir kab kisne dekha kal

~ fiza

Tuesday, March 19, 2013

Zindagi Ke Kareeb Hoon Aise!


Dil nasaaz sa raha kuch din 
Bujha-bujha sa ojhal mann
Badalon se dhaka aasmaan
Waheen, kaheen chipa chaand 
Nis din mein karun uska intezar 
Kabhi to bujhegi milan ki pyaas
Udasiyon mein dooba mann
Rangon se bhara ye mausam
Berang sa phir kyun lage chaman?
Soch mein duboon mein nisdin
Phulon ki bahaar har taraf
Panchiyon ki cheha-chehahat
Barish ki girti tap-tap boondein
Paas humein le aaye aise
Jaise phir kab milungi us se
Dekh aankhbhar samaya mujh mein
Uski bahon mein nisaar ho shaam jaise
Thaki -haari phir bhi zindagi ke kareeb hoon aise!

~ fiza

Tuesday, February 26, 2013

Ab kaise ye bawari ja mile apne chand se?

Simti hai hawa jaise baadal mere chand se
Kab mein nikal paaongi milne us chand se
Rukawatein kayi hain milne mein chand se
Muqable badha rahe becheniyan chand se
Milan ki ghadi khayalon mein khele chand se
Sehar se shyam musruf rahoon sirf chand se
Kaise kahoon kya-kya na kahoon chand se
Koi le jaye sandesha keha aao chand se
Koi bawari kehati hai mohabbat hai chand se
Ab kaise ye bawari ja mile apne chand se?
Kisi bahane ka intezaar hai miloon chand se
~ fiza


Tuesday, January 15, 2013

Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha


Mehakta sa ek khwab hai Muskurati hui subha
Sochne per deewana kare Aur jagaye nayi asha 

Aankhon se baatein karna Zubaan se na kuch kaha
Samjhne wale per beete so beete Achambhit ye dil hua

Be-maut he mara gaya dil bechara, Kab ye kahan hua?
Uske pyaar mein awaz nahi hoti Magar dil tak ja chubha

Milkar us se mein gair hui Usiki bahon mein jaise sab khoya
Us se dur rehakar bhi Uske khayalon mein jaise bani shobha

Khud ko luta aayee uski bahon mein Chand lamha he hua
Uske tan ki khushbu saanson mein Ab bhi hai mehaka hua

Dur rehakar na chen aaye, Kaisa hai kambhakht jiya
Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha

~ fiza

Tuesday, January 08, 2013

sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!



Kisi se dil lag gaya is tarah, ek rog ho gaya jaise!
Kisi haal mein na hoye ilaaz iska, ab kaise jiyein aise?

Shoq nazar, aur shararti hansi uski sthir karte hein aise
barf mein jama hua koi panv, nikalne ko bechen ho jaise!

Chune ko use dil hamesha tarase, par hathash hai dil aise
sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!

Kitni der jakadun main apne aapko, dur rehakar usse
Milan ki aas aur phir uski pyas, barkaraar aise!

jab sayyam ka bandh toota to, tufan sa takraya jaise
Phir jo dhul-mithi ki tarah ghule, na fark kar sake aise!

Pyar ke is bandhan mein, murat jaise bandhe hum aise
Har koi dekhe to kahe - Kanha-Radha ka milan ho jaise!!

~ fiza


अच्छी यादें दे जाओ ख़ुशी से !

  गुज़रते वक़्त से सीखा है  गुज़रे हुए पल, और लोग  वो फिर नहीं आते ! मतलबी या खुदगर्ज़ी हो  एक बार समझ आ जाए  उनका साथ फिर नहीं देते ! पास न हों...