Wednesday, March 28, 2012

Chaand dekh raha hai

Bhigi bhigi raat hai
Onka khyaal hai
Tanha hokar bhi 
Priyatam ka saath hai
EK dhadkan hai
Jo dhak dhak rahi hai
Onke sang hone ko
Bechen ho rahi hai

Raat ka andhera hai
Chaand dekh raha hai
Khamosh baadal sochta hai
Inka milan kahan hai
Mere saaye mein hai?
Ya chand ki chandni mein hai?
Do dilon ko tadapta dekh
Mausam sath nibhata hai

Ghataon ke tale chalein
Dur pahadon ke paas
Jahan tum ho aur mein hoon
sath mein ye barsaat
Jo humein chipaye rakhe
Boondon ke pardon mein
Pyar ka ehasaas hai
Jataye ruke nahi hai

Chipaye rahe nahi ab
Dil ki dhadkan tej hai
Saansein chalein to sahi
Daudne ka kaam hai
Jhilmil aankhon se
Dil mein utarte ho
Aise jaise sheeshe mein
May bhara hua hai

Is kadar nasha hai tera
Utarne ka na naam hai
Bas nasha he nasha hai
Tere pyaar ka asar hai
Milan ki pyaas hai
Aey badal tu ja onn tak
Phuncha de sandesha mera
Deewani raah takhti hai

~ fiza

Tuesday, March 27, 2012

Roke na ruke aaj ye pagal jiyara per


Tap-tap boondein gire zameen per
Tan-mann mein aag lagaye jigar per

Dhuan sa uthe hai jaise jalte tave per
Aise hee angaar nikalte hain seene per

Saundhi mitti ki khushbu lalchaye, per
Oski yadein machlaye mann-mandir per

Gile pahad gili pattiyaan tadpaye mujhe per
Ang-ang bhiga ye mann sneha se per

Roke na ruke aaj ye pagal jiyara per
Saanson ko rok jhelun ye tadap per

Ek adh-kahi bijli seene se guzari hai per
Kab-kahan giregi ye jhelega waheen per

Karwatein badalti hain jaise barish thame per
Angadayee bhi badal badal kar tadpaye hai per

Nis-din jale hain iss agan mein barkha ke sang
Kabhi to ho milan un badalon ke sang milkar 

~ fiza

Wednesday, March 14, 2012

Jhil-mil jhil-mil karti boondein


Jhil-mil jhil-mil karti boondein
Tap-tap karke girtin rehatiN
Ek-ek karke chehare per
Maano mujhe cher rahiN
Kab mein machal kar
Lapak kar pakadoon
Oonki bahon ko thamuN
Le chalo mujhe bhi sang
Awaraa badalon ke sang
Kaheen dur jahaan ghata
Jamein aur barsein ek sath
Mein bhi bhigungi onke sath
Sar-sar barish ki boondon se
Tan-mann bhigo ke aaj
Holi tum sang kheloongi
Saanson se saanson ki dor bandhke
Le bharun aaj umangon ke sang
Bahon mein jakadkar jaise
Tum sang phir nayee preet rachaooN
Khelun prem-sangeet Milan
Bhigkar jab mein sikud jaoon
Tum bahon mein bharlena
Apni garmi dekar meri thand dur kar dena sajan
Jhil-mil jhil-mil karti boondein
Tap-tap karke girtin rehatiN
Ek-ek karke chehare per
Maano mujhe cher rahiN

~ fiza

Thursday, March 08, 2012

Maan ke aanchal mein samaya subh-o-sham


Oske aane ki hulchul
Har tarf rahi subh-o-sham
Kis din, nis din yehi charcha
Khule aam subh-o-sham
Koi kasar na rakhi paalne mein
Khilakar, lori sunakar subh-o-sham
Raunak se bani mehafil saji
Har pal kilkariyaan maarte subh-o-sham
Khelte-khilaate dost banaate
Maan ke aanchal mein samaya subh-o-sham
Dheere –dheere ye pal bitenge
Beta ho jayega bada subh-o-sham
Apni hasi ke phavaare yoon hee rakhna
Baant-te sabhi se subh-o-sham
Bhed-bhav na karna kisi mein
Jaise ab ho raho hamesha subh-o-sham
Maan, behan ho, ya ho dost
Sada rakhna onki shaan subh-o-sham
Jis din tum aaye is duniya mein
Yaad rakhiye oska mayna subh-o-sham
Khush rehana aur rakhna sabhi ko
Yaad rahe ye ek maa ka gyaan subh-o-sham

~ fiza

Wednesday, March 07, 2012

Holi aayee holi aayee...


Holi aayee holi aayee
Kisi ne aaj subha-subha
Ye kahani yaad dilayee
Jab rangon ki guthiyaan
Le-le kar jebon mein
Bhare gubbare sath liye
Doston ke ghar jakar
Phodte chupke se udhar
Lage hath thali mein se
Mithaiyaan chun lete mukhbhar
Rang lagaate pairon per gir jaate
Aashirwad lekar toil mein nikal jaate
Ek-ek ko pirote maal mein
Har ghar ki mathari khate
Chalet-jhumte sham nikal aate
Bhang mein lath-path uchalte-kudte
Jab ghar pahunchte sust aur mast
Tab gharwale nazar daudakar
Poochte kis desh se aaye ho
Kya naam hai kahan rehate ho
Aise khela karte the holi
Aaj kisi ne subha subha
Ye kahani yaad dilayee
Holi aayee Holi aayee

~ fiza

Tuesday, March 06, 2012

Ye kaisa toofan hai...


Oski baatein oski chedkaani
Waar kartin hein dil per
Bebaak kare saansein
Baar baar, kayee baar

Dhoke se ye kehana
Masti hai mazak hai
Phir dil ke ehasaas jatana
Baar baar, kayee baar

Toofan mein chale kashti
Kabhi aage to kabhi peeche
Dil asmanjas mein pad jaye
Baar baar, kayee baar

Ye kaisa toofan hai
Ye kaisi kashish jo
Oski aankhon mein deekhe
Baar baar, kayee baar

Deewanagi ki hadein dekho
Na kisi baat ka sudh hai
Na kisi ko koi hosh hai
Baar baar, kayee baar

~ fiza

Monday, March 05, 2012

Pyaar ka nasha kuch iss qadar...


Behaki behaki chaal hai
Halka aasmaan bhi
Badalon ke roop mein
Chehra kisi ka saamne
Dekh machal gaya dil
Phir sochne laga yunhee
Kyun mein yahan aur
Woh wahan hain
Jab pyaar dono mein hai
Rok na saka apni dhadkano ko
Phone ghumakar keha diya
Kyun tum durr ho iss tarah
Oss taraf yehi arzoo rahi
Woh sunkar sharma gayee
Pyaar se bhari shehad see
Umad padi mithaas mein
Bas oss phone ki awaz mein
Oss ke pyaar jatane ka andaz
Rok na saki apne aap ko
Daud chali oski bahon mein
Pyaar ka nasha kuch iss qadar
Cha gaya oon deewanon par
Mulaquat ki raah woh takne lage
Pyar ke nashe mein do pagal huye
~ fiza

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...