Ye kaisa toofan hai...
Oski baatein oski chedkaani
Waar kartin hein dil per
Bebaak kare saansein
Baar baar, kayee baar
Dhoke se ye kehana
Masti hai mazak hai
Phir dil ke ehasaas jatana
Baar baar, kayee baar
Toofan mein chale kashti
Kabhi aage to kabhi peeche
Dil asmanjas mein pad jaye
Baar baar, kayee baar
Ye kaisa toofan hai
Ye kaisi kashish jo
Oski aankhon mein deekhe
Baar baar, kayee baar
Deewanagi ki hadein dekho
Na kisi baat ka sudh hai
Na kisi ko koi hosh hai
Baar baar, kayee baar
~ fiza
Comments
Yeh Zindagi Ki Justaju Chalti Rahengi
Jab Tak Sash Hain Tab Tak Yeh Yadeein Rahengi
Jab Yeh Fasale Khudine Banaye Ho
Jab Yeh Deware Khudine Chunvaiye Ho
Toh Hum Kisiko Kya Dosh De
Na Samaj Paye Kabhi Hamare Pyar Ko Jo
Woh Hamari Is Khamoshi Ko Kya Samajenge
Humne Bhi Bahut Toofano Ko Jaila Hain
Jab Tum Hamare Saath Ho, Toh Yeh Toofan Kya Jeez Hain
Bus Ek Aahat Ka Intezaar Hain
Bus Ek Chaha Hain Ke Hum Unki Parchaiye Bankar Rahe Jaye
Zindagi Ki Insaaf Dekho
Humare Naseeb Mein Na Hi Unki Chaha Hain
Aur Na Hi Unki Parchaiye Banene Na Naseeb
Chalo Yebhi Hume Manzoor Hain
Pyar Jo Kiya Hain Humne Unse
Unki Khushi Ke Naam
Yeh Pyar Bhi Kurban
Bas aab Toh Ek Hi Kwaahish Hain
Jab Yeh Saas Ruke Tab Unka Naam Ho Labo paar
Aur Woh Ho Samane Hume Bida Karne Ko
Yeh to kavitha pe kavitha ho gayi
Soniya ji Daad kabool ho
aise bhi honge hazaaron khwahishmand
jo intezaar karthe honge
unke zindagi mein bhi aaye
ujaalon ki umang bhikerne
Koyi Soniya ya Koyi Nisha :)
Adaab Arz hey:)