Har saal ki tarah ye saal bhi jaane wala hai
Kaheen ek khushi hai jo naya saal dene wala hai!
Iss saal ne kuch kam nahi diya khushi mujhe
Har ek pal ko zindadili se jiya hai meine!
Jaise –jaise saal beete waise-waise dost hain meine jeete
Umr ka to pata nahi, magar dost umr se bhi hai jyada mere
Khushiyon ke rang bhi kabhi gine jaate hein bhala?
Dost to dost umr bhi bhala sharma gaye hain ab to!
Mein na kehati hun, saal ko aane aur jaane do bas
Rukna nahi iski ginti ki jhunjhalahat mein kabhi
Zindagi hai ek safar jiska naam hai chalte rehana
Dil aa bhi gaya kabhi to naam na lo yahan theharna
Har pal ko jee lo akhari samajhkar mere yaar
Zindagi khud tumhare sang jhumne ko rahegi bekaraar
Khush hai ‘fiza’ ab har pal mausam ki chamak mein
Jaan jo gayee jeena hai to sirf issi ek pal mein !!!
~ fiza