Kisko ghar samjhe ?

Paida huye kaheen to bade kaheen, Kisko ghar samjhe, kisko naheen ! Roti khilaane wale se juda roti kamaane chale kaheen, Roti denewala badal gaya, ab apne kaun naheen ! Apnon se dur basa liya hai ghar roti ke liye, Jahaan pale wahaan ka mausam raas naheen ! Ab to ghar samjhe hai paraya kaheen, Khanabadosh si zindagi thikana naheen ! Kaun apna ? Kya ghar kya sar-zameen, Ab to har taraf tanashaahi, mara-maari kaheen ! Paida huye kaheen to bade kaheen, Kisko ghar samjhe, kisko naheen ! ~ fiza