Friday, April 05, 2024

Kisko ghar samjhe ?


 

Paida huye kaheen to bade kaheen,

Kisko ghar samjhe, kisko naheen !


Roti khilaane wale se juda roti kamaane chale kaheen,

Roti denewala badal gaya, ab apne kaun naheen !


Apnon se dur basa liya hai ghar roti ke liye,

Jahaan pale wahaan ka mausam raas naheen !


Ab to ghar samjhe hai paraya kaheen,

Khanabadosh si zindagi thikana naheen !


Kaun apna ? Kya ghar kya sar-zameen,

Ab to har taraf tanashaahi, mara-maari kaheen !


Paida huye kaheen to bade kaheen,

Kisko ghar samjhe, kisko naheen !


~ fiza

3 comments:

हरीश कुमार said...

सुन्दर

Rupa Singh said...

सुंदर रचना।

Dawn said...

Harish ji aur Rupa ji aap dono ba behad shukriya meri is kriti ko padhkar sarahane aur houslaafzayi karne ke liye, dhanyawaad aabhar !

वक्त के संग बदलना चाहता हूँ !

  मैं तो इस पल का राही हूँ  इस पल के बाद कहीं और ! एक मेरा वक़्त है आता जब  जकड लेता हूँ उस पल को ! कौन केहता है ये पल मेरा नहीं  मुझे इस पल ...