Friday, May 14, 2010

Gol Gol Chanda!

Chand ko logon ne alagh alagh roop mein dekha hai jaana hai aur iski upma anek tarah se suna aur padha bhi hai. Mujhe hamesha chaand ek akela musafir hee laga...jo aur ke liye jalta, chalta rehata hai aur auron ko manzil tak pahunchakar phir nikal padta hai apne akele safar mein...mein aksar chand ke dard ko mehasoos kar jaati hoon apne hee tarike se... kuch armaan nikal aaye mere jab meine aasmaan mein gol gol bada chaand dekha...

mere zehan ki thakaan
mano pani pani hogaya
dekha jo aasmaan mein
gol gol chanda

muskurahat ki lehar
jaise phaila gayee ho
roshan chandni chehare per
gol gol chanda

mein nikali lekar gaddi
woh chala phir mere peeche
balkhate to kabhi chip-chipaate
gol gol chanda

har baar woh dekhta aise
kabhi pedon ke peeche se
to kabhi raaste ke khambon se
gol gol chanda

Jo mein so jaaon thak kar
Phir bhi woh jagta rahe
neend chadhne tak mujhe sehalaye
gol gol chanda

~ fiza

Pyaar Karne Ki Ritu, Abhi Angadayee Leti Hai Kam

Insaan pyaar jaisee cheezon mein jab dhal jaata hai to, tab woh ishwar ko choo leta hai - aisa bade buzurgon se suna tha! Lekin jab inhee premiyon ko juda kar diya jaata hai...tab woh dil ke kareeb to hote hee hain lekin aankhon se aankhon ko dekhne aur pyaar ke izhaar karne ki rut ko kho baith te hein...iss virah ki ghadi mein jo jasbaat dhalte hein khayaalon mein woh kuch iss tarah pesh kiya hai...

Pyaar ke ehasaas,jataye nahi the tab tak
Acchi thi roshni,chaand ke nikalne tak

Oonki becheni mein,Ek karaar tha yoon
Ke meri har muraad,roshan hui mumnoon (thankful)

Oss (dew) jaise Ehasaas, kirano mein oodne lage
Ab hum tadapne lage,dhuyein se baatein karne lage

Dil aur deemag ke,iss uljhan mein
virah ke teer jhele,kambhakt dil roye

Ishq ke ye ehasaas,meethe dard jagaaye
diye ki tarah jalkar,roshan kaheen aur ho jaaye

apni tadapti rooh ko,samjhane lage hein hum
pyaar karne ki ritu,abhi angadayee leti hai kam

Dil ko samjhayein to kaise,Ghabaraye to rokein kaise
Aaj chandani ki roshni mein,Kal ke armaan jalayein kaise?

Kyun laga liya ye rog,Becheni ka ye ehasaas
Hichkole lete huye armaan,Dil mein kayee toofan oothaye

Dur hai fiza magar paas rehate hain dil mein
Chaandni jaise roshan hoti hai vasundhara (dharti) mein

Aakhir Kyun?

Kayee baar jo sapne hum dekhte hein oonhein hum pa bhi lein to oosmein khalan paida hone ki gunjaish bahut jyada hoti hai... Kyunke kabhi kabhi hum iss vishwas ko hee kho dete hein ke kabhi hamare sapne bhi poore ho sakte hein... aise mein jab waqai mein koi oos sapne mein daraar dalein to jo khayaalat aate hein oonhein pesh karni ki choti see koshish...

Dil mein toofan sa
jasbaat mein dhalaan sa
mein kis ki sunoo
Mein kyun kar sunoo

Oske ehasaas ka qatl
ooske jazbaat ka qatl
dard mujh ko hoye
mein kyun kar sahoon

Koi dhamkaaye oose
Koi zabaran rakhe oose
kaisa faisla hai ye
Mein kyun kar daroon

Har baar jo sehata ho
Har baar jo jalta ho
Osi per phir pahad toote
Mein kyun kar samjhoon

Koi khuda per ilzaam dhare
Jab bali hee chadhani ho to
Meri hee gardan kyun aaye
Mein kyun ye anyaay sahoon

Mein kyun har baar ye hone doon
Kya khuda hai bhi
Ya ye bhi sirf ek veham hai
Mein kyun iss jhoothi aas mein jiyoon
Kyun? Kyun? Kyun?

~ fiza

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...