Posts

Showing posts with the label Holi

बुरा न मानों होली है !!!!

Image
  सवेरे-सवेरे मीटिंग में जब सुना  कल छुट्टी है क्यूंकि होली है  मन ही मन होली के गुब्बारे  रंगों से भरे दिल में फोड़ आये  मैंने कहा खुद ही से अरे , बुरा न मानों होली है !!!! ~ फ़िज़ा 

Holi aayee holi aayee...

Image
Holi aayee holi aayee Kisi ne aaj subha-subha Ye kahani yaad dilayee Jab rangon ki guthiyaan Le-le kar jebon mein Bhare gubbare sath liye Doston ke ghar jakar Phodte chupke se udhar Lage hath thali mein se Mithaiyaan chun lete mukhbhar Rang lagaate pairon per gir jaate Aashirwad lekar toil mein nikal jaate Ek-ek ko pirote maal mein Har ghar ki mathari khate Chalet-jhumte sham nikal aate Bhang mein lath-path uchalte-kudte Jab ghar pahunchte sust aur mast Tab gharwale nazar daudakar Poochte kis desh se aaye ho Kya naam hai kahan rehate ho Aise khela karte the holi Aaj kisi ne subha subha Ye kahani yaad dilayee Holi aayee Holi aayee ~ fiza