Wednesday, January 05, 2011

Phir Sanwarein Adhuri Kahani-Kahani

 Bachpan itna masoom hota hai ke oos waqt kya accha hai aur kya pyara hai iski samajh shayad hee hoti hai. Bachpan ke sathi jab bichar jaate hein tab kaheen jakar hum oonhein dhundne lagte hein bechen aur tadapti atma...jahan kabhi shayad khabar bhi na ho ke ye dosti darasal pyaar tha aur hai...kuch aise ehasaas aur pal ko darshaane ki ek maatr koshish...

Barson baad hum mile, haal poocha to laga
Jahan se bichare waheen, per aakar hum phir mile

Khubh haal-chal jaana, Kahan rahe aur kahan seekhe
Kab kis gali mein kis saal mein, rehakar bhi kyun nahi mile?

Dil ki halat bayan, ho na saki lekin
Halatein bayan hote hote, ehasaas phir wohi jaage jaage

Baton ka silsila khatm na ho, Ye kafila yoon hee chalta rahe
Aur jaan ne ki becheni kabhi to, chithiyon mein pyaar dhundna kabhi

Ek taraste aur bichare huye se, bahut dur se bahut dino se
Dhundte huye yahan tak pahunche, chahe waqt ki syahi kuch bhi ho

Hum-tum waise hee rahe , Jaise pehale hum-tum mile
Wohi lajja wohi ghabarahat, internet ki aad mein dil -dil se mile

Phir wohi ehasaas ka jagna, school ki baatein yaad karna
Choti choti baton ki kahani, aaj bhi nahi bhuli jaati

Umr guzri lekin pyaar wohi, koi to wajah hai jawani jawani,
Aaj is waqt yon mile hain, phir sanwarein adhuri kahani-kahani

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...