Monday, March 31, 2014

Mehakati hai 'fiza' hariyaali mein anayaas


Bhiga mausam bhige hain ehasaas 
Aankhein barse phir bhi hai pyaas

Geele hein raste kankad hain aas-paas
Sambhale to kis-se bhigne ka hai aabhas

Taruvar mein hai jeevan, patton ka nivaas
Barkha ki fuhaar, bosa de armaano ka hasaas

Bhiga hai mausam bhige hain ehasaas 
Aankhein barse phir bhi adhuri hai pyaas

Mehakati hai 'fiza' hariyaali mein anayaas
Milan ki aas mein jagaye rakhe wohi pyaas!

~ fiza

Friday, March 21, 2014

Zinda rakhti hai zindagi bhi...!!!


Zindagi tujh se roz milte hain bichadte bhi
Raat ke baad subha ho jaati hai tab bhi
Maano koi ek jhooti aas hee sahi
Zinda rakhti hai zindagi bhi
Khel naye deekhati hai kabhi
Na khelo to maza chakhati hai badi
Ismein jo phans gaya so reha gaya
Tadap ke jhulus ke zinda rahe tab bhi
Nazariya jo bhi rakho zindagi hai abhi
Bas juda hoke rehana hamesha 
Jaise raat aur subha bhi!

~ fiza

Wednesday, March 05, 2014

Barasta paani jaise lori sunaye koi!!!

Barasta paani jaise lori sunaye koi, 

Dhun aisee jaise sangeet bajaye koi, 

Mann chanchal bawla athkheliyan kare koi, 

Pyaas dil mein jagaye milne ko bechen koi,

Bhuli-bisri yaadein agan jagaye jaise koi,

Sulagta hua dil yaad mein tadapta koi,



Dheemi boondein sehalata jaise koi,

Needon mein palkein moondkar khawab koi,

Dekhoon oos or jahan khula maidan koi,

Daudti hui befikr jhoomein ladki koi,

Ye dekh "pagal" kehata hai use koi,

Barasta paani jaise lori sunaye koi,

Dhun aisee jaise sangeet bajaye koi!!!


~ fiza

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...