Ek nanhi kali thi jab tak mein
Tab tak nathkhat hee thi mein
Jab ek din pata chala koi hai
Jo hai mera vistaar mujhi mein
Ek lagav sa apne hone ka hua
Vistaar ka roopantar 17 april ko
hua
Maan kaha to kabhi Vaama kaha
Meine to sirf yehi samjha
Meri vistaar hai, meri saheli hai
Khelne ke liye ek khilona hai
Acche-bure mein sath dene wali
Vistaar mere ang ka hai
Pyaar dulaar mein pali padi
Apne se bhi bhali lagi
Haan meri hee vistaar sahi
Meri beti 13 ki hui J
Bachpan se meri saheli rahi
Ab jaise meri paheli hui
Kab ye saheli badi hui
Kandhe se mere laangh gayee
Khubsurat kali ban gayee
Kahe log mujhe pareshaani hui
Mein kahoon ye to sayani hui ;)
Meri vistaar jawan hui
Meri bhi umr kam hui
Ab mein bhi vistaar bani
Dosti ka ye alam hai aaj
Aisee ek nadi behane lagi
Mere jeevan se judkar pali
Har sukh-dukh ki sathi hui
Do sakhi hain ya do behane?
Mohe to woh bas mein hee lagi J
Duaon se meri jholi bhari
Sang mere aaj hai ek pari!!!
~ fiza