Hariyali ki giraft mein jakada hua woh pal aise... ;-)


Hariyali ki giraft mein hum aagaye aise
Gulsitan mein bahaarein aati hain barson baad jaise

Kash-pe-kash lagaye gaye hum aise
Pyaase ke hisse mein do boond aaya ho jaise

Saamne lakadiyan jalti hain aise
Aag ko bhi apne hone ka andesha hogaya hai jaise


Halka-halka suroor chadhta hai kash se aise
Samundar mein tairta hua machali ho jaise

Hasi pe na rok hai kisi ko aaj maano aise
Aasmaan mein udne ki gati paa lee ho jaise

Saamne aag ki laptein tez hogayeen aise
Dil ke armaano ka lagaam chutha jaise

Mast chandni ki thandak mein haath sekein aise
Pyaar ki udaan kaamdev ko prerit karein hain jaise

Tadapta hua dil ek taraf jhulta hai hawe mein aise
Dekh use dur se mann lipat gaya ho seene se jaise

Hariyali ki giraft mein jakada hua woh pal aise
Sadiyon se oski aankhon ka jaadu hua ho jaise

~ fiza

Comments

Popular posts from this blog

हौसला रखना बुलंद

उसके जाने का ग़म गहरा है

दिवाली की शुभकामनाएं आपको भी !