Saturday, July 24, 2010

Har taraf yehi rona hai


Aajkal rishte naaton mein itne tanaav aur tanz paaye jaate hein ke bas...dil kehata hai band karo iss rasmon -rivaazon ko aur khuli azaadi mein jiyo...

Har taraf yehi rona hai
Har patni ka pati ko rokna hai
Jo Patni Jeene de Pati ko
Woh osi per nirbhar reha jana hai

Har taraf yehi rona hai
Har Patni ka pati ko rokna hai

Jeene se, khush hone se
Jahan Jo Jukha waheen woh phansa
sadgi aur apnaiyat ki dastaan
kitaabon mein bhali lage hai

Har taraf yehi rona hai
Har Patni ka Pati Ko Rokna Hai

Tu-Tu, Mein - Mein Ki Ye Hodd
Kab kahan tak rukegi kahan tak chalegi
Ahamkaar ki justazoo mein kahan tak
Bacchon ki bali chadhayee jayegi

Har taraf yehi rona hai
Har Patni ka Pati ko Rokna Hai

Shayad woh waqt aagaya hai
Jahan rasmon se umeed uth gaya hai
Patni aur Pati ka roop mitt gaya hai
Ek bhayanak sapna sa umeed kho gaya hai

Har taraf yehi rona hai
Har Patni ka Pati ko Rokna hai

Chalo milkar ye jahan sajayein
Pyaar se bhari na umeedi ki
Jahan tum se kuch na maangein
Jee bharkar tumhein chaahein

Har taraf ke rone ko
Chalo aaj hee khatm karein

Rasmon ke ye daayre
Khuli hawa mein jee lein
Saans lene mein na rokein
Jee bhar ke jee lene dein, bas

Har taraf ke rone ko
Chalo aaj hee khatm karein

Pyaar ki koi seema na ho
Rokne tokne wala na ho
Patni aur Pati ki zanzeer na ho
Sirf pyaar aur pyaar hee ho

Har taraf ke rone ko
Chalo aaj hee khatm karein

Na Tu Mera hai na mein teri
Koi bandhan nahi zorr nahi
Dil khulkar pyaar karein jise
Dil chaahe phir woh mera ho jaye

Har taraf ke rone ko
Chalo aaj hee khatm karein


~ fiza

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...