Tuesday, January 08, 2013

sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!



Kisi se dil lag gaya is tarah, ek rog ho gaya jaise!
Kisi haal mein na hoye ilaaz iska, ab kaise jiyein aise?

Shoq nazar, aur shararti hansi uski sthir karte hein aise
barf mein jama hua koi panv, nikalne ko bechen ho jaise!

Chune ko use dil hamesha tarase, par hathash hai dil aise
sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!

Kitni der jakadun main apne aapko, dur rehakar usse
Milan ki aas aur phir uski pyas, barkaraar aise!

jab sayyam ka bandh toota to, tufan sa takraya jaise
Phir jo dhul-mithi ki tarah ghule, na fark kar sake aise!

Pyar ke is bandhan mein, murat jaise bandhe hum aise
Har koi dekhe to kahe - Kanha-Radha ka milan ho jaise!!

~ fiza


No comments:

खुदगर्ज़ मन

  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है  अकेले-अकेले में रहने को कह रहा है  फूल-पत्तियों में मन रमाने को कह रहा है  आजकल मन बड़ा खुदगर्ज़ हो चला है ! ...