Monday, July 02, 2012

Uski Nazarein ;)

Hum apne dinchrya zindagi mein kitne hee logon se milte hein aur kitno se to sirf nazarein hee milti hein aise milne -milaane mein kab kahan kaun dil ke gharonde mein bas jaata hai ye to shayad khud dil bhi nahi jaan paata :) aise hee ek jasbaat ko pesh karne ki koshish....

Kisi ko dekh seene ki dhadkan tez hogayii
Uski nazarein mujhe der tak ghurti rahii

Dil machal ootha anayaas hee sahi
Der tak uski nazarein peecha karti rahii

Uss gadbadahat mein na jee bhar dekh payii
Nazaron se jo khenchi tasveer wohi le aayii

Dur tak saath diya unn nazaron ne mera
Musruf rakha har pal apne khayaalon se hii

Dil ke armaan machale huye se tadpa gayii
Tasveeron mein hee jee bhar pyaar kar payii

Armaano ke phulon se sajaya khwab kayii
Bairan ab ye mann gaati hai dhun uske kayii

Ab ye alam hai unn nazaron se ghayal kya huii
Mujhe to raas koi na aaye 'fiza' ab bas wohii

~ fiza

No comments:

ज़िन्दगी जीने के लिए है

कल रात बड़ी गहरी गुफ्तगू रही  ज़िन्दगी क्या है? क्या कुछ करना है  देखा जाए तो खाना, मौज करना है  फिर कहाँ कैसे गुमराह हो गए सब  क्या ऐसे ही जी...