Thursday, July 05, 2012

Kal raat kali chadar odhe




 Kal raat kali chadar odhe
 Angadaiyon ke silvaton mein
 Dur khila sa chaand dekha
Badalon ki dhundhlahat mein
Pedon ke ghane chaanv mein
Tum aaye kuch yoon kareeb se
Aahon ki laptein othin jhat se
Jal jaoon is pal mein mai
Tum sang aise mil jaaon pighalke
Na fark rahe chaand aur chaandni mein
Jab bhi koi humein dekhe gaur se
Mein tum mein aur tum mujh mein samaye aise
Dur neel gagan mein taaron ke gaon mein
Kuch din thehar ke yun hee mil-julke
Geet gayein sang milan ke
Khwabon ki ladiyaan piroke
Kuch tum chun na kuch mein chunungi
Geet-sangeet ki dhwani bankar
Anant kaal mein goonj oothungi
Jab bhi pooranmashi aaye
Mere sang mera chaand bhi aaye
Pyaar ke aagosh mein rehakar
Is jag mein roshni phailaye
 
~ fiza

No comments:

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...