Wednesday, January 01, 2014

Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!


Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage
Unneessau se Do-hazaar chaudhah ho gaye
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!

Maidano mein khela karte the saal guzar gaye
Ab bacche machino ke sang khelte reh gaye
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!

Tab dilon mein pyar-balidaan ki gaatha sunaye
Ab to sirf naam aur matlab ke liye goon gaye
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!

Zindagi ki sehar aur shyam tab kuch alag lage
Aaj sehar bhi aur shyam bhi ek se lagne lage
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!

Un dino bandishein aur usoolon per jine wale
Ab bina kisi bandhan ke sabhi ko sahara milne lage
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!

Oos orr se iss chor tak bahut saal guzar gaye
Kuch jyada paaya aur kuch bahut kho diye
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!

Tab se aaj tak ek tum he ho jo kabhi na badle
Tab bhi ghatkar badhte aur aaj bhi waise he lage
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!
Magar tum mere Chand, mere he rahe aur na badle
Dekhte-dekhte saal ke umr badhane lage!!!

~ fiza



No comments:

वक्त के संग बदलना चाहता हूँ !

  मैं तो इस पल का राही हूँ  इस पल के बाद कहीं और ! एक मेरा वक़्त है आता जब  जकड लेता हूँ उस पल को ! कौन केहता है ये पल मेरा नहीं  मुझे इस पल ...