Suna hai kal raat jamm ke barsi thi barkha
Ek khumaar sa layi hai sehar per barkha
Khumaar (hangover)
Dhund jaise baadal bikhari to meine dekha
Ho na ho ye jamaal sehar per layi hai barkha
Tan-man mein sulagti hui aag lagi hai jaana
Mere dil mein angadaiyaan khelti hain barkha
Bahake huye khayaal mitha dard de gayi barkha
Deewane nikahaton ko gud-gudagayi barkha
nikahaton (fragrance)
Zulfein bikher kar pehalu mein aayi barkha
Ji karta hai shaam-e-abad tak ho barkha
shaam-e-abad (unending evening)
Havaas mein romanchak sa aa base barkha
Aisa haal ‘fiza’ ka koi aur nahi kare hain ye barkha!
Havaas (sense and sensibility)
~ fiza
No comments:
Post a Comment