Kisi se jud gaye aise, juda hona ab accha nahi lagta
Nazaron se ghayal huye, thik hona ab accha nahi lagta
Yaadon mein khoye, kuch aur sochna ab accha nahi lagta
Khwabon mein doobte rahe, kanara ab accha nahi lagta
Nazaron mein khatka aise, koi aur ab accha nahi lagta
Nindein le gaya koi, raaton ko sona ab accha nahi lagta
Intezar mein guzare din, kahin aana-jaana ab accha nahi lagta
Sath hai zehan mein, kisi ke sath ghumna ab accha nahi lagta
Harkoi bairi hai, kisi ka naam zubaan pe ab accha nahi lagta
Rishte ki dor bandhi aise, khulke jeena ab accha nahi lagta
Jadu hai ya deewanapan ye, sudharna ab accha nahi lagta
Qatil hai mera woh, 'fiza' us se dur rehana ab accha nahi lagta
~ fiza
No comments:
Post a Comment