Tu aur kareeb hee ho chala hai

Kabhi -Kabhi Dil guzre huye pal ko yaad karke hee mastmaula ho jaata hai. Kisi apne ke dur hone per bhi khayaalon ki kambal bunte oose der nahi lagti aur phir oosi kambal ko apne se lapetkar woh hijr ki raat bitaata hai...aise hee kuch asmanjas mein pade mann ki halat ko pesh karne ka pryaas...

Shyam ke is chanchal ban (jungle) mein

Mann chanchal ban ho chala hai

Phir bachpan ki athkeliyon mein
Mann khelne aaj phir chala hai

Bad-mast voh pawan sang Main
Chori-seena zori kar chala hai

Mast-Maula Logon Ki Bhid Mein
Kyun mann tujhe soch chala hai

Masti bhare iss shyam mein
Kyun dil tujhe dhunde chala hai

Kareeb se bhi kareeb hoon Main
Phir kyun mujh se dur chala hai

Dil ke bagdor ki majbooti mein
Tu aur kareeb hee ho chala hai

Fiza soche hein iss bhagdad mein
Kyun ye mann manchala ho chala hai

~ fiza

Comments

Popular posts from this blog

हौसला रखना बुलंद

उसके जाने का ग़म गहरा है

दिवाली की शुभकामनाएं आपको भी !