Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha

Rakshabandhan - jo kabhi aise waqt ki yaad dilata hai jab ek maharani ne apni jaan ijjat bachane ke liye dusre raja ko rakhi ke dhaage se raksha ki minnat ki thi aur ye pratha wahan se shuru hui.
Os waqt khoon ke rishte se bhi badhkar maane jaate the rakhi ke bandhan se bana hua bhai-behan ka pyaar...aur aaj shayad khoon ke rishte mein hokar bhi bhai-behan kahan nibha paate hein?


Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha
Atoot bandhan tha
dhagon se badhkar majboot tha
Athkheliyon mein aur ladakpan mein
Behakte kadamon ki dastaan chipaye rakha tha
Aisa pyaara aur salona rishta tha

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Kab woh itna bada hogaya
Jaane kaise dhaga kaccha hogaya
Barson ke iss rishte ko dhage se todd diya
Kis baat ka garoor tha na jaane kis baat ka veham
Woh rishta toot te gaya kache daage sa
Woh rang phika hote gaya holi ke rangon sa

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Aaj yaadon ke gharonde mein baith
Soch rahi kis kadar bitaaye woh pal
Jab maan-baba se chipate the mastiyaan
Gid-gidakar maufi mangte the oonki ghalatiyon per
Kya iss kadar sab badal gaya
Kya oss rishte ko bhula diya

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Kal maut khadi samne nazar aati hai
Aaj beete kal ki yaad satati hai
Kaun kahan se aaya tha
Kis kokh se janma tha
Aana -jana laga rahega
Kaun kis gali mein phir janmega
Bhai-Behan ke rishte yoon koi nahi nibhayega

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha

~ fiza

Comments

Popular posts from this blog

हौसला रखना बुलंद

उसके जाने का ग़म गहरा है

दिवाली की शुभकामनाएं आपको भी !