Sard raaton mein kaale badalon mein
Chipa tera aks mehtab hai khila dil mein
Saanson ki dhak-dhak pareshaan raaton mein
Pehachaane chehare housla bhare dil mein
Woh pal jo na guzra rahoon intezaar mein
Uske jaate hee fikar chumne lage zameen mein
Bankar thi ajnabi magar gayee thi gulistaan mein
Do-chaar phul the utha layee unhein dil mein
Nikalkar jab nazar padi aasman mein
Dekh chand pighal gayee mohabbat dil mein
Jo guzar gayee woh sama bandha dil mein
'fiza' mehasus kare mustaqbil intezaar mein
~ fiza
3 comments:
कतई नहीं भूले ..उस जमाने के साथी याद आते हैं नित!!
:)Infact, I was posted in CA- SFO for 4 months last year. I didn't know, you are there. We had few Kavi Sammelan's also out there.
Anyways, some other time- where are you and what are you doing.
Regards
Sameer
Wah! aapse jawab pakar khushi hui … :) ! Ji mein California mein San Francisco ke paas hee hoon technology company se judi hui hoon VMware mein kam karti hoon aur apne shauk ko abhi bhi zinda rakha hai :) dil mein aur apne jasbe mein :)
Ab ke aaoge to ittela kijiyega …mein aksar yahan mushaira sunne jaati hoon har saal Aligarh Muslim Univ waale organize karte hein… keep in touch! I moved to CA in 2005 end… aap ? Canada mein
bahut bahut dhanyawad Prasanna ji …yahan tak aane ka aur nazm per tippani karne ka … shukriya :)
Post a Comment