Kal shaam har shaam jaisee na thi

Kal shaam har shaam jaisee na thi
Nazaron ki shararat kabhi aise na thi

Woh pal sath ke aise kabhi na guzari thi
Mohabbat ki boli thi magar aise na thi

Uski har ada qatilana jaise kisi ki na thi
Meri har nabz per jaise usi ki ravanagi thi

Har saans mein uske jaise mai hi mai thi
Uske har ek ishaare per mai mar-miti thi

Saunp doon khud ko mai deewani jo thi
Ye deewanagi koi jaani pehachani na thi

Kal sham ka suraj dhala magar aag baki thi
Raat to raat magar subha bhi kam jali na thi

Deewanagi ki hadd hai 'fiza' jo anjaan thi
Sambhalte ab na sambhale ye jaan per thi

~ fiza

Comments

Popular posts from this blog

हौसला रखना बुलंद

उसके जाने का ग़म गहरा है

दिवाली की शुभकामनाएं आपको भी !