Mastiyaan athkheliyan saare manjur the magar
Dur rehakar saare jatan sehana nahi is kadar
Har pal jhalakta hai aankhon ka deedar mujhe
Ehasaas mujhe deta hai pyaar ka rahat magar
Hijr ke pal jataate hein kitne dur ho tum
Shab-e-vasl per har gumaan ki hogi puri kasar
Duriyan falsafe yaad dilaate hein yun rehakar
Hijr ke mausam mein bhi badal barsate hein aksar
Chanda dur se dekh barsaaye hai mujh per pyaar
Raat neend mein sulakar din mein takta hai yaar
Pyaar se bhara gulaabi khat he hai mera sahara
Ke ab beete yaadon mein hai 'fiza' ghumshuda awara
~ fiza
No comments:
Post a Comment