Jab tak chipa hai baadalon mein chaand
Tab tak rehati hai dil mein utsukta meri jaan
Adh-dhaka chehara aur adh-khuli chitthi
Taraste hein jalim ladke padhne meri jaan
Jitna bhi khule kam hai badali mein ya parde mein
Chaand to chaand hai chehra to aapka hai meri jaan
Dhaki palkon se woh aankhein chahe kuch kahein ya sochein
Jab ghurti hain to saayein –saayein karti hein dil mein meri jaan
Aise hee adh-khuli see baatein aur ehasaas jalti-bujhti hui see
Jab izhaar karein dil kholkar tab kareeb hone se darte hain meri jaan
Milne ki aas aur paani ki pyaas jaise tilmila dete hein har kisiko
Saamne dekhkar dil pagla jaaye khushi se kya karein kya na karein meri jaan
Jis tarah lu sametleti hai poore shehar ko apne giraft mein
Kisi roz hum bhi aajayeinge iss toofaan ki girafat mein meri jaan
Jhulas raha hai boond boond paani garam tave per jaise
Osi tarah jhulaste hein mere armaan dil mein pighalte huye meri jaan
~ fiza
No comments:
Post a Comment