Wednesday, July 13, 2011

Mein Pareshaan Hoon!!!


Mumbai mein bam phatne ki khabar ne insaan ke insaaniyat hone ko lalkaara hai…! Aaj har koi iss avesh mein hai ke kaise iska moonh tod jawab mein doon, aakhir sehanshil hone ki bhi ek hadd hoti hai…
Mein hairaan nahi
mein nadaan nahi
mein sehansheel hoon 
magar itna bhi nahi, 
Bas mein pareshaan hoon!








Kyun majboor kare mujhe koi
aankh ke badle aankh
aur jaan ke badle jaan loon?
Bas mein pareshaan hoon!
Lashon ke dher mein bhi
roji -roti ki bhagdad hai
kisi ko rota dekhkar bhi
puchkarna na aaye mujhe
Bas mein pareshaan hoon!
Aur na inteha le mere sabr ka
mein bhi insaan hoon
toot na jaye mera bandh sabr ka
tujh mein mujh mein kuch to reha jaye farak
Bas mein pareshaan hoon!
~ fiza

No comments:

Garmi

  Subha ki yaatra mandir ya masjid ki thi, Dhup se tapti zameen pairon mein chaale, Suraj apni charam seema par nirdharit raha, Gala sukha t...