Saturday, February 05, 2011

Makhmali ghas per letkar...

Subha ki dastakh aankhon ke darwaaze per jab aati hein to kaise kaise khayaal dil mein aate hein...ek anayaas ...ek pal mein aane wale kayee khayaal aur sawaalon...ki jumbish ko pesh karne ki koshish....


Makhmali ghas per letkar
Oopar neele aasman ko dekhkar
Main sochne lagi suraj ko dekhkar
Kitne haq se aakar rehalete ho jahaan mein
Roshni kisi aur ko dekar
Kone mein ghar banakar
Duniya ko chakma dekar
Kaise neend oodakar
Hulchul si machakar
Chip jaate ho sham ko
Dekar ilzam chaand ko
Woh sehama sa shanth sa
Kuch na kehata ghumsum sa
Sab kuch dekhkar bhi
Kuch na kehata akela sa
Dur se roshni ki chamak dekar
Apni khubsurati ki dastaan sunta
Makhmali ghas per oos ki boondein
Sej sajakar mano keha rahi hon aise
Lipatkar, simatkar tu khwab saja aise
Jise tu jee le neend mein phir kal
Suraj ko aana hai tujhe oothane
Kuch tang karne to kuch housla dene
Makhmali ghas per letkar
Oopar neele aasman ko dekhkar
Main sochne lagi suraj ko dekhkar

~ fiza

No comments:

ज़िन्दगी जीने के लिए है

कल रात बड़ी गहरी गुफ्तगू रही  ज़िन्दगी क्या है? क्या कुछ करना है  देखा जाए तो खाना, मौज करना है  फिर कहाँ कैसे गुमराह हो गए सब  क्या ऐसे ही जी...