Pankhuri ke khulne jaisa...



Aaj dil soch mein dooba
Iss kadar dilruba hua
Ke khud se begana hua
Ye sochne mein raha woh
Kis tarah mein panchi ban
Ud jaon oos chor per jahan
Mein dur se dekhoon sabhiko
Par rahoon mein sabse dur wahan
Dur gagan mein udte-phirte
Sair-sapat kar aaon dhum se
Pankhuri ke khulne jaisa
Khulkar khusboo bikharaaon
Nisha ke aate he mein jhat se
Bandh ho jaaon phulon jaise
Kaun tika hai antkaal tak
Jo afsos kare kisi ka
Aana jaana laga rahega
Aate-jaate jee lo tum
Jo pa liya so pa liya
Jo kho diya so kho diya
Kya lekar aaye jo khone ka dar
Sabkuch tumhein yahan mila hai
Dene ka sawal kahan hai?
Khush rehalo jitna bhi mila ho
Baki ka koi gham nahi hai
Haste gaate jhumlo tum
Ye mantra apna lo tum
~ fiza

Comments

Popular posts from this blog

हौसला रखना बुलंद

उसके जाने का ग़म गहरा है

दिवाली की शुभकामनाएं आपको भी !