Posts

Showing posts from August, 2010

Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha

Image
Rakshabandhan - jo kabhi aise waqt ki yaad dilata hai jab ek maharani ne apni jaan ijjat bachane ke liye dusre raja ko rakhi ke dhaage se raksha ki minnat ki thi aur ye pratha wahan se shuru hui. Os waqt khoon ke rishte se bhi badhkar maane jaate the rakhi ke bandhan se bana hua bhai-behan ka pyaar...aur aaj shayad khoon ke rishte mein hokar bhi bhai-behan kahan nibha paate hein? Meine bhi nibhaya tha Dhagon ke bandhan mein bandha tha Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha Atoot bandhan tha dhagon se badhkar majboot tha Athkheliyon mein aur ladakpan mein Behakte kadamon ki dastaan chipaye rakha tha Aisa pyaara aur salona rishta tha Meine bhi nibhaya tha Dhagon ke bandhan mein bandha tha Kab woh itna bada hogaya Jaane kaise dhaga kaccha hogaya Barson ke iss rishte ko dhage se todd diya Kis baat ka garoor tha na jaane kis baat ka veham Woh rishta toot te gaya kache daage sa Woh rang phika hote gaya holi ke rangon sa Meine bhi nibhaya tha Dhagon ke bandhan mein bandha tha Aaj yaad...

Ek Phul...

Image
Swantantrata diwas ki shubhkamnayein doston...ye ek iss tarah ki azaadi hai jahan desh per mar-mitne ke liye kisi ki bhi ijazat nahi leni padti ...aise hee jasbaat ubhar kar nikale jab desh-premiyon aur shaheed jawano ko yaad kiya aur shradhanjai arpit kiya... Ek phul jo toot ke gira Ladkhadata hua ja atka Tehaniyon per Aandhiyon ke jhokon mein Na phanskar Woh phir gira vahan se Lekin, Patton ke beech ja phansa ab ke Jaanwaron ne bhuk mitayee Patton ke sang woh phul Phir Kaheen Chip gaya aur leharata hua Oos waqt path par ja gira Jab shaheedon per mitti dali gayee!!! ~ fiza

Tu aur kareeb hee ho chala hai

Image
Kabhi -Kabhi Dil guzre huye pal ko yaad karke hee mastmaula ho jaata hai. Kisi apne ke dur hone per bhi khayaalon ki kambal bunte oose der nahi lagti aur phir oosi kambal ko apne se lapetkar woh hijr ki raat bitaata hai...aise hee kuch asmanjas mein pade mann ki halat ko pesh karne ka pryaas... Shyam ke is chanchal ban (jungle) mein Mann chanchal ban ho chala hai Phir bachpan ki athkeliyon mein Mann khelne aaj phir chala hai Bad-mast voh pawan sang Main Chori-seena zori kar chala hai Mast-Maula Logon Ki Bhid Mein Kyun mann tujhe soch chala hai Masti bhare iss shyam mein Kyun dil tujhe dhunde chala hai Kareeb se bhi kareeb hoon Main Phir kyun mujh se dur chala hai Dil ke bagdor ki majbooti mein Tu aur kareeb hee ho chala hai Fiza soche hein iss bhagdad mein Kyun ye mann manchala ho chala hai ~ fiza