Chaand dekh raha hai
Bhigi bhigi raat hai Onka khyaal hai Tanha hokar bhi Priyatam ka saath hai EK dhadkan hai Jo dhak dhak rahi hai Onke sang hone ko Bechen ho rahi hai Raat ka andhera hai Chaand dekh raha hai Khamosh baadal sochta hai Inka milan kahan hai Mere saaye mein hai? Ya chand ki chandni mein hai? Do dilon ko tadapta dekh Mausam sath nibhata hai Ghataon ke tale chalein Dur pahadon ke paas Jahan tum ho aur mein hoon sath mein ye barsaat Jo humein chipaye rakhe Boondon ke pardon mein Pyar ka ehasaas hai Jataye ruke nahi hai Chipaye rahe nahi ab Dil ki dhadkan tej hai Saansein chalein to sahi Daudne ka kaam hai Jhilmil aankhon se Dil mein utarte ho Aise jaise sheeshe mein May bhara hua hai Is kadar nasha hai tera Utarne ka na naam hai Bas nasha he nasha hai Tere pyaar ka asar hai Milan ki pyaas hai Aey badal tu ja onn tak Phuncha de sandesha mera Deewani raah takhti hai ~ fiza