Posts

Showing posts from April, 2012

Dost ko dil se to tu na juda kar sakega...

Image
Zindagi ka naam hai chalte rehana Waqt ke sath kapde badalte rehana Rooh ka ye khel bhi ajeeb hai, behana Ek shareer se dusre mein hai jaana Rooh ka yun kisi se bhi jud jaana Kitna ajeeb hai zindgai tera ye khelna? Zindagi ke khel bahut hain nirale Ek pal badhayee, ek pal bidayee Kis taraf ka rukh dekhein Eh! Zindagi? Dost ko dil se to tu na juda kar sakega Majbur tu chahe kitna bhi kar le, Zindagi!!! ~ fiza

Meri beti 13 ki hui .. :)

Image
Ek nanhi kali thi jab tak  mein Tab tak nathkhat hee thi mein Jab ek din pata chala koi hai Jo hai mera vistaar mujhi mein Ek lagav sa apne hone ka hua Vistaar ka roopantar 17 april ko hua Maan kaha to kabhi Vaama kaha Meine to sirf yehi samjha Meri vistaar hai, meri saheli hai Khelne ke liye ek khilona hai Acche-bure mein sath dene wali Vistaar mere ang ka hai Pyaar dulaar mein pali padi Apne se bhi bhali lagi Haan meri hee vistaar sahi Meri beti 13 ki hui J Bachpan se meri saheli rahi Ab jaise meri paheli hui Kab ye saheli badi hui Kandhe se mere laangh gayee Khubsurat kali ban gayee Kahe log mujhe pareshaani hui Mein kahoon ye to sayani hui ;) Meri vistaar jawan hui Meri bhi umr kam hui Ab mein bhi vistaar bani Dosti ka ye alam hai aaj Aisee ek nadi behane lagi Mere jeevan se judkar pali Har sukh-dukh ki sathi hui Do sakhi hain ya do behane? Mohe to woh bas mein hee lagi J Duaon se meri jholi bhari Sang mer...

Rok na sakoon ehasaason ko aaj mein

Image
Beete na bitaye lambe ye din Un bin kaheen lage na jiya mera Dur jaane ki khabar se hee tadap utha Virah ke din kis haal mein beetega Roj na mile mere bairan nain unse Phir bhi khush tha ye mann dur se Jab se jaane ki khabar suni hai unse Bechen ye mann rehane laga tabse Jaise-taise kaate pal virah ke kuch din Jhum otha mann sunkar khabar aane ki Rok na sakoon ehasaason ko aaj mein Kisi tarah unse ho mulaquat aaj meri Shayad mai na rahoon kaboo mein Chod laj-sharam jaise sautan mere Seene se lagke kehadoon jasbaat mere Ho na ho mein hoon deewani tumhari Kuch na maangoo tumse aaj bas itna Jab bhi jaana apne sang le jana mujhe Kat jayenge raste haste khelte yunhee Zindagi ke pal hote hee hain kam kitne Jo virah mein bita doge dur rehakar To hum jiyenge sang kab dono milkar? ~fiza

Hariyali ki giraft mein jakada hua woh pal aise... ;-)

Image
Hariyali ki giraft mein hum aagaye aise Gulsitan mein bahaarein aati hain barson baad jaise Kash-pe-kash lagaye gaye hum aise Pyaase ke hisse mein do boond aaya ho jaise Saamne lakadiyan jalti hain aise Aag ko bhi apne hone ka andesha hogaya hai jaise Halka-halka suroor chadhta hai kash se aise Samundar mein tairta hua machali ho jaise Hasi pe na rok hai kisi ko aaj maano aise Aasmaan mein udne ki gati paa lee ho jaise Saamne aag ki laptein tez hogayeen aise Dil ke armaano ka lagaam chutha jaise Mast chandni ki thandak mein haath sekein aise Pyaar ki udaan kaamdev ko prerit karein hain jaise Tadapta hua dil ek taraf jhulta hai hawe mein aise Dekh use dur se mann lipat gaya ho seene se jaise Hariyali ki giraft mein jakada hua woh pal aise Sadiyon se oski aankhon ka jaadu hua ho jaise ~ fiza

Ye bhi kya haseen jabardasti hai 'fiza' mere yaar

Image
Dil mein chipa ke rakha hai meine pyaar Ise zahir na karoon mein yehi hai ikraar Kisi ko mujh se ho na ho koi pyaar Mujhe sab manzoor hai use ho inkaar Har ghadi sochna kaisa hai ye pyaar Khudgarz hona bhi pyaar mein hai bekaar Dil maanega nahi kambakht karta hai pyaar Hardum sirf chaahta hai osi per hai aitbaar Dhadkane tez hoti hain jab milte ho harbaar Karke mujhe khwabon mein ghum hote ho faraar Dil phir bhi angadayee leta hai khatm ho intezaar Kab dil kholkar kahoge mein hoon tumhara raazdaar Ye bhi kya haseen jabardasti hai 'fiza' mere yaar Dil khol diya aur poochte ho, kyun hai mujh se itna pyaar? ~fiza