Posts

Showing posts with the label प्यार

विस्मरणिया है संगम ऐसा ...

Image
शुष्क मखमल सी बूँदें  मानो ओस की मोती  लड़ियाँ बनाके बैठीं हैं  एक माला में पिरोये हुए  सुन्दर प्रकृति की शोभा में  बढ़ाएं चार चाँद श्रृंगार में  मचल गया मेरा दिल यहीं  लगा सिमटने उस से यूँ  जैसे काम-वासना में लुत्प  विस्मरणिया है संगम ऐसा  हुआ मैं तृप्त कामोन्माद  मंद मुस्कान छंद गाने मल्हार  प्रकृति का मैं बांवरा हुआ रे  श्रृंगार रस में डूबा दिया मुझे  ~ फ़िज़ा 

जाने क्यूं ?

Image
जाने क्यूं वो रोकता था , प्यार से मुझे घोलता था , मुझको भी सब मीठा लगता था , जाने क्यूं वो रोकता था ! तोहफे वो रोज़ लाता था , नज़र ना लगे इस वजह छुपाता था , गुड़िये जैसा सजाता भी था , जाने क्यूं वो रोकता था ! तब तडपकर वो टूट जाता था , एक दिन वो पल भी आया था , मुझे दूर लेजाकर छोड़ आया था , तभी मुझे बचाकर रखता था , जाने क्यूं वो रोकता था ,! शायद प्यार खुद से करता था , उसकी जान मुझ में बसा था , तब जाके समझा ... जाने क्यूं वो रोकता था !!!... ~ फ़िज़ा

मोहबब्त हर किसी से नहीं होती है ....!!

Image
कयी महीनों के दौरान उसमें  एक बदलाव सा आया है  हालात ने उसे अपने साथ की आदत डलवाया है ! उसे देख बहुत दिनों बाद मेरे अंदर एहसास जगाया है  वो बदला तो हालात से  मगर जज़्बात आज भी वही है ! उसकी बातें किसी से थी मगर  उसकी मुस्कान अब भी वही है  भोली सी बातें, भोली सी हंसी  वही मोहब्बत की गुदगुदाहट है ! हालात कैसे भी हों आज या कल एहसास तब भी और अब भी यही है  दिलों में संजोये रखना ये प्यार क्यूंकि  दुनिया से नज़र लगने का धोका है ! भुलाना नहीं ये प्यार  किसी  सूरत  मोहबब्त हर किसी से नहीं होती है !! ~ फ़िज़ा 

क्यूं मन पिघलता है जब मोहब्बत है?

Image
मुझ से मोहब्बत को मोहब्बत है ये जानते हुये भी के मुझे मोहब्बत है कैसे ना रोक पाऊँ अपने आपको, मोहब्बत है जो भी प्यार से मिले मुझे मोहब्बत है क्यूं मन पिघलता है जब मोहब्बत है? कैसा ये असर है कैसा खुमार ये मोहब्बत है …. ~  फ़िज़ा

अधूरा लगता है....

Image
तुझ से बात नहीं होती तो अधूरा लगता है  तेरा साथ  ना हो तो सफर अधूरा लगता है  फिर भी जब ये बात केहता हूँ तो पूरा लगता है सेहर के साथ मेरी शाम ढले लगता है  शाम आते ही सेहर पास लगता है  इस सेहर और शाम के फासले दूर लगता है  कब ये अधूरा पूरा हो यही अब सोचने लगता है  सफर में हूँ पटना से इंदोर व्यस्त लगता है  सफर में हमसफर भी हो साथ अच्छा लगता है  सफर में धूप भी एक  नमी  सा लगता है  ~ फ़िज़ा 

खयालों में बस गया बिन बताये मेहमान.. :)

Image
उम्र गुज़ारेंगे हम कभी यहाँ तो  वहां कभी  अधूरी मुलाकाते भी होती है यहाँ बातें चंद ही हुई हसते-मुस्कुराते जहां  ज़िंदगी भर की निशानी ले चले यहाँ से वहां आधी मुलाकात, अधूरी बात मगर हैरान खयालों में बस गया बिन बताये मेहमान ऐसा क्यूं के दूर जाकर ही समझे कोई अधूरी ज़ुबान कैसे और कब कोई ना जाने अधूरे हुये मेहरबान सोचे 'फ़िज़ा' इस अधूरे-आधे इज़हार-ए- सुभान होती है पेहचान भले ही अधूरे दिल जवान ~ फ़िज़ा

Ek muskaan halki see sahi kisi ko dua hee de dena

Image
Naye saal mein kuch nahi badla  Na kuch badlega taareekhon ke alawa Gar kuch kar sakte ho to tum than lena Dil se dil mila lena Dosti na karo tab bhi bura na karna Acche logon ki kami nahi magar acchaiyan kam na karna Ek he hai jeevan sabko milta Eklauta sa vyavahar sabke sang karna Pyaar-mohabbat na kar paaye jaanvaron se seekhlena Ek muskaan halki see sahi kisi ko dua hee de dena Koi na chota na bada yahan pe beshak mehalon mein rehana Jab zindagi se alvida honge tab har kisiko ek hee savaari mein hai chalna Tu na chota hai na bada ye na samajhna Paanchon ungaliyon ki tarah ek hee haath ke bane rehana Waqt aaye to muthi ban jaana Magar kisi ko dukh na dena jeena aur jeene hee dena Bas yehi dua is saal tum karlena ~ fiza

मैं खुश हूँ जहांवालों तुम्हारी दुआयें पाकर...

Image
खुश हूँ में आज ज़िंदा रेहाकर यहाँ याद आता है मुझे बचपन मेरा जहां पापा की लाड़ तो माँ की डांट कयी  पल जी लेना उस पल तब  जब माँ की ना और पापा की हां पर  सैकड़ों नमन नसमस्तक होकर उनको जिनकी वजह से हूँ मैं यहाँ आबाद  जीवन के इस मोड पर आकर जब  देखूँ उस पार जहां कभी सेहमी सी थी मैं घबराई इस दुनिया से  उसी ने दी मुझे होसला दिलेरी का  कर मुझे बुलंद इस जहां ने दिया प्यार शायद जो वो भी भूल गये हैं इस बात को  मगर जैसे माँ की हमेशा सीख थी मुझे  ना भूलो पिछलों को ना भूलो अपनो को  बढ़ो आगे जहाँ में ज़मीन पर पॉव रखकर  मैं खुश हूँ जहांवालों तुम्हारी  दुआयें पाकर ~ फ़िज़ा 

ए चाँद मेरे मुझे मिला भी तो वहीं जाते - जाते...

Image
तुझे देख मैं निकल पड़ी अपने रास्ते जिधर ले जाता चले वहीं हम आते  कभी पेड़ों के पीछे तो कभी बादल आ जाते ढूंडती हुई निकल पड़ी सवारी जाते-जाते देखा मेरी ज़िंदगी "रेडियो ज़िंदगी" के आते-आते मुझे मिला मेरा साजन  ज़िंदगी के रास्ते ए चाँद मेरे मुझे मिला भी तो वहीं जाते - जाते जहां शाम ज़िंदगी की करने निकले थे समा सजाते  ~ फ़िज़ा 

Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha

Image
Mehakta sa ek khwab hai Muskurati hui subha Sochne per deewana kare Aur jagaye nayi asha  Aankhon se baatein karna Zubaan se na kuch kaha Samjhne wale per beete so beete Achambhit ye dil hua Be-maut he mara gaya dil bechara, Kab ye kahan hua? Uske pyaar mein awaz nahi hoti Magar dil tak ja chubha Milkar us se mein gair hui Usiki bahon mein jaise sab khoya Us se dur rehakar bhi Uske khayalon mein jaise bani shobha Khud ko luta aayee uski bahon mein Chand lamha he hua Uske tan ki khushbu saanson mein Ab bhi hai mehaka hua Dur rehakar na chen aaye, Kaisa hai kambhakht jiya Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha ~ fiza

sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!

Image
Kisi se dil lag gaya is tarah, ek rog ho gaya jaise! Kisi haal mein na hoye ilaaz iska, ab kaise jiyein aise? Shoq nazar, aur shararti hansi uski sthir karte hein aise barf mein jama hua koi panv, nikalne ko bechen ho jaise! Chune ko use dil hamesha tarase, par hathash hai dil aise sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise! Kitni der jakadun main apne aapko, dur rehakar usse Milan ki aas aur phir uski pyas, barkaraar aise! jab sayyam ka bandh toota to, tufan sa takraya jaise Phir jo dhul-mithi ki tarah ghule, na fark kar sake aise! Pyar ke is bandhan mein, murat jaise bandhe hum aise Har koi dekhe to kahe - Kanha-Radha ka milan ho jaise!! ~ fiza

Ankhon mein basi hai ek nazar

Image
Ankhon mein basi hai ek nazar Jo dil per kare hain yun basar Ojhal hone per bhi nazaron se Rehata hardum meri hee nazar Aayine sa khila chehara zaroor Aankhon ki geharayee darbadar Jhankti  sochne per karti majbur Kar deti hai deewana mujhe is kadar Saans badhti hai dekh uski qatil nazar Jeene ki aas badhaye pal marne ki kasar Ajab kissa hai khel rahe ye nazar Dil ki halat horahi hai kamzor magar Badhte armaan ho rahe faasle kamtar Nazdikiyon ka sama yaad aata hai dilbar Mulaquaton ka ho na ho silsila chala hai agar To mudke na dekhein ab kisi nazar Pyaar ki mastiyon mein gotte kha rahein humsafar Yun hee makhmali aadaon se dekhte raho dilbar Ke chaand ke bahane aajaate ho usmein nazar ~ fiza

Na jee sakegi tanha dur tumse rehake

Image
Aas mein uljha ke oss mein dubake Kya milega yun humein tarsaake? Har pal sath mere khayalon mein uljhe Suljhane kyun nahi kisi bahane aate? Khamosh nazar se yun dekhkar jalate Dil mein kyun kayee hulchul machaate? Dilon mein gud-gudi leharon sa sehalate Zubaan se kyun na ye raaz sab kholate? Chuppi tumhari kayee sitam hain dhaate Nazaron se baatein kar kyun hain sataate? Is kadar mohabbat mein mujhe duboke Kya jaan lene aaye ho tum thaanke? Chahati hai 'fiza' iss kadar dil lagake Na jee sakegi tanha dur tumse rehake ~ fiza

Uljhe huye khayaal se hain ab har palchin

Image
Palchin palchin intezaar mein kat te din Til-til main jiyun yaad mein yun tere bin Ek pal hai leharata man yadon mein nisdin Agle palchin hai yaad sataati rahun tum bin Aankhon se kehate dil ke sab raaz gin-gin Jaise hee choone aaon kho jaate ho hardin Dur se lalchaate ho meri chahat ko zalim Sochon mein kareeb jaise chandan aur nagin Uljhe huye khayaal se hein ab har palchin Itna na sataya karo baat hai ab sangin Saans chalti hai har pal jiya na jaye tum bin Rukhsat hoti hai intezaar mein har sham rangeen ~ fiza

Chalakta uski aankhon se woh lamha

Image
Chalakta uski aankhon se woh lamha Kaise mein kaid kar laayi yun tanha Kam lafzon se jo behaka de dariya Lafzon se nakarta raha woh pagla Badalon ke gheron sa uska aana Bin barsaat dubo dena bhigana uska Dhak-dhak dhadkan hui tez us pal  Jab soche na samjhe dil ye kyun kumhala Mein kahin bhi jaaon woh sath hai chala Jaise kisi khwab ko ratt ke dhorata chala Ek deewangi ka alam hai chala Kabhi apne to kabhi apne pagalpan pe hasa Jo bhi ho humein bhi shayad ye pyaar hua ~ fiza

Kal raat kali chadar odhe

Image
 Kal raat kali chadar odhe  Angadaiyon ke silvaton mein  Dur khila sa chaand dekha Badalon ki dhundhlahat mein Pedon ke ghane chaanv mein Tum aaye kuch yoon kareeb se Aahon ki laptein othin jhat se Jal jaoon is pal mein mai Tum sang aise mil jaaon pighalke Na fark rahe chaand aur chaandni mein Jab bhi koi humein dekhe gaur se Mein tum mein aur tum mujh mein samaye aise Dur neel gagan mein taaron ke gaon mein Kuch din thehar ke yun hee mil-julke Geet gayein sang milan ke Khwabon ki ladiyaan piroke Kuch tum chun na kuch mein chunungi Geet-sangeet ki dhwani bankar Anant kaal mein goonj oothungi Jab bhi pooranmashi aaye Mere sang mera chaand bhi aaye Pyaar ke aagosh mein rehakar Is jag mein roshni phailaye   ~ fiza

Intezaar mein hoon kab aaoge mere angana...

Image
Kal sham tumhein dekh bahut socha Kyun mein tumhein chahoon itna Phir gaur farmaaya oon aankhon per Kitne pyaar se dekhte ho tum mujhe Jahan sirf pyaar hee pyaar nazar aaye Na kabhi daantna-phatkaarna mujhe Durr se bas dekhkar mujhe Kar dete ho pyaar mein tallin mujhe Kheench lete ho bina dor apni orr Tadapta yoonhee mujhe yahan chor Shaleen mann se dekhna meri orr Aur ye kehana mujhe har pal har roz 'Chorunga nahi jab kabhi mile mauka Dil kholkar pyaar tumhein mein dunga Bhul jaogi kabhi mein chaand hoon Dur gagan se niharta raha hoon Chanchal hasi aur badmashiyon mein Kabhi tumne bhi mujhe pagal kiya Chaand hone ka dukh tab us pal hua Lekin mein phir bhi wada karta hoon Chahoonga tumhein raat din yunhee Tum isi tarah barsaate rehana pyaar Niharte rehana mujhe pyaar se har raat Jis din aajaoonga bahon mein tumhare paas Hosh uda doonga pagli tumhare mere sath'  Aaj mein un baaton ko yaad karoon chanda...

Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen...

Image
Bechen raatein aur din mayusiyon sa Tum bin mora jiya saiyaan lage na kaheen Behala-phuslakar dekh liya har palchin Becheniya badhti hai na dekhun jo kaheen Chip jaate ho badaliya mein dekh mujhe Pareshaan dekh maze lete ho waheen kaheen Ye jaankar bhi kitna sneh hai mujhe tumse Jhalkiyon mein milte ho hamesha tum yaheen Amavas ki raat jo na tum aao nazar mujhe Kam se kam baahon mein le lena kaske vaheen Na dekhun kayee din to dil dhadakna band karde Jeene ki phir koi vajah aati nazar naheen Kal raat jab nazaron se teer chalaya tumne Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen Kayal hoon deewani bhi aur pagal sanam mere Kis kadar bas gaye ho tum mujh he mein kaheen Aajkal mein bahut khush hoon na jaane kyun Dekh 'fiza' chaand ke tukde ko judta waheen ~ fiza

Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai

Image
Dil ki dhadkan tez hui jaati hai Sham ko jab teri yaad chali aati hai Din dhalne per aankhein khwab bunti hain Chaand dekh meri raat rangeen ho jaati hai Tera yun sataana accha lagta hai Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai Kis kis se tera thikana poochti hai Dil ab kaheen doob jaana chahta hai Aankhon mein kho gaya koi kajal hai Teer chalata magar 'fiza' koi aur hai ~ fiza

Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan

Image
Kyun hota hai pyaar ye sochkar thi pareshaan Ehasaas hua hai ye Uss se durr rehakar  Pyaar na chahe beshaq zindagi ko baar baar Zindagi chaahati hai ho pyaar beshumaar Virah ki ghadi kis kadar gumraah kar deti hai Beemar ka haal accha hai jo pad gayee Ek nazar Rukha sa be-jaan jism chalta-phirta hai idhar-udhar Jeene ke rang bhar deta hai ek mulaqat mukhtasar Jo ab tak the musrufiyat ke jaal mein chipe huye Hulchal sii macha rahe zehan mein Harpal har mod per Yun hota hai pyaar ye jaana, aaj mehasoos kiya meine Dil betaab aur behaal hua jaata hai oske khyaal per Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan 'fiza' bebaak see rehagayee armaanon ke bahaav per ~ fiza