Wednesday, February 29, 2012

Badal barish pahad aur ye mausam....

















Dhalta anchal sa badal
Gira oon pahadon per
Jaise makhmali chadar
Adh Dhaka sa adh khula sa
Bhigota hua barish mein
Tan-mann mein phailakar
Gudgudahat ki khalbali si
Jo machalkar samane lage
Uski bahon mein ek kamal sa
Khilta hua dheere oske pyaar se
Khushboo bikharata jungle mein
Paaniyon ke boondon se bana
Woh pyaar ki harakatein karta hua
Deewana banata har kisi ko
Dhunde do dilon ki daastan
Badal barish pahad aur ye mausam
Kardete hain chanchal mastbahar

~fiza

Thursday, February 23, 2012

Pankhuri ke khulne jaisa...



Aaj dil soch mein dooba
Iss kadar dilruba hua
Ke khud se begana hua
Ye sochne mein raha woh
Kis tarah mein panchi ban
Ud jaon oos chor per jahan
Mein dur se dekhoon sabhiko
Par rahoon mein sabse dur wahan
Dur gagan mein udte-phirte
Sair-sapat kar aaon dhum se
Pankhuri ke khulne jaisa
Khulkar khusboo bikharaaon
Nisha ke aate he mein jhat se
Bandh ho jaaon phulon jaise
Kaun tika hai antkaal tak
Jo afsos kare kisi ka
Aana jaana laga rahega
Aate-jaate jee lo tum
Jo pa liya so pa liya
Jo kho diya so kho diya
Kya lekar aaye jo khone ka dar
Sabkuch tumhein yahan mila hai
Dene ka sawal kahan hai?
Khush rehalo jitna bhi mila ho
Baki ka koi gham nahi hai
Haste gaate jhumlo tum
Ye mantra apna lo tum
~ fiza

Saturday, February 18, 2012

Mat dekh iin teer nazaron se mujhe ‘fiza’

Kuch doston ki nazaakat aur kuch likhne ki koshish ne lafzon ko jodkar misre ka roop diya hai ....isilaah ke kabil samjhein to ganimat hogi iss nacheez per ;-)


Haseen fazaa hai nazaraa bhi bandha hai
Keha do to pehaloon mein samaajaoon mein?

Duniya ki iss berukhi aadatan se tang
Kya bahaar banker aajaaoon tumhare sang?

Aasmaa.n hai neela badalon se dhakaa hua
Ek tasveer ki bhanti dhaank sakoge mujhe tum?

HatHelee per jaan lekar nikali hoon aaj mein                                 
Lahoo jigar ka de sakoge seenchne ise tum?

Mat dekh iin teer nazaron se mujhe ‘fiza’
Mukammal vaar kyun karte hein ye dil per?
~ fiza

Friday, February 03, 2012

Kal subha ka intezaar karte…!


Haste baste kat gaye raste
Rehate Gaate nacchte saare
Gol-gol ghumate oss sang
Taang khenchte marte- maarte
Le masti ki chuski lete
Baba ki kahani sunaate
Haste –haste baste-baste
Raste-raste gaate-gaate
Kehate- kehate raha woh hardum
Aankhon se war karte sehate
Armaan jagaate pyaas badhate
Dheeme-dheeme saans badhate
Gulabi aasmaan ko chumte jaate
Pyaar ki masti khelte- khilaate
Ek dusre se ladte ladaate
Waqt ke sang jagte jagaate
God mein le seene se lagaate
Ehasaas ki barish barsaate
Shaam hui oss chand ko takhte
Aaja paas hamare kehate
Jalte tadapte othte baithte
Sang dolte badmashi karte
Yoon raat ki chadhar odhte
Kal subha ka intezaar karte…!

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...