Kuch doston ki nazaakat aur kuch likhne ki koshish ne lafzon ko jodkar misre ka roop diya hai ....isilaah ke kabil samjhein to ganimat hogi iss nacheez per ;-)
Haseen fazaa hai nazaraa bhi bandha hai
Haseen fazaa hai nazaraa bhi bandha hai
Keha do to pehaloon
mein samaajaoon mein?
Duniya ki
iss berukhi aadatan se tang
Kya bahaar banker aajaaoon tumhare sang?
Aasmaa.n
hai neela badalon se dhakaa hua
Ek tasveer ki bhanti dhaank sakoge mujhe
tum?
HatHelee per jaan lekar nikali hoon aaj mein
Lahoo
jigar ka de sakoge seenchne ise tum?
Mat dekh iin teer nazaron se mujhe ‘fiza’
Mukammal vaar kyun karte hein ye dil per?
Mukammal vaar kyun karte hein ye dil per?
~ fiza
No comments:
Post a Comment