Wednesday, November 24, 2010

Ye Jannat kaisa hota hai?

Zindagi mein aap khwab dekhte ho jo kabhi kabhi aap haqiqat mein jeete ho :)! Aur isi jhunjhulahat mein khwab aur haqiqat aapko do aise rang mein le aate hein ke aap soch mein pad jaate ho ke aakhir  woh tha kya? Ek choti see koshish...




Jannat ki ser kise kehate hein
meine bhi ye khwab dekha
Kuch-kuch khwabon jaisa
to kuch khwabon se bhi accha


Raaste ke mod per kaheen
Peepal ki dhandi chaanv tale
Kuch der tham kar socha
Yehi hai woh jannat jaisa?
Jise meine khwabon mein dekha?


Dur se oodti titali aayee
Boli pal bhar mein mai urr jaoon
Jitna tum behalalo jee per
Khwab to Khwab hee hai aakhir
Sehar ke aate ooth jana tum


Mein bholi kuch na jaani
Khwab ko haqiqat samjhi
Jivan ki sui-dor se bun ne lagi
Jo kabhi na judi kaheen se
Is pal ko jivan se jodne lagi


Nisha ki woh kaali raat bhi aayee
Jivan ki kaali khari tasveer liye
Woh bun ne lagi jaise makadi ka jaala
Dheere dheere phaans liya makade ne
Shikaar hogayee, ek aur khoon ho gaya 


Sach hee kaha hai jis kisine 
Khwab to khwab hee hote hein
Kisne ise sach hote dekha hai 
Jo mein sach karne nikali thi?
Kaanch toota hee hai judta nahi phir


Jannat ki ser kise kehate hein
meine bhi ye khwab dekha
Kuch-kuch khwabon jaisa
to kuch khwabon se bhi accha
Ye Jannat hota kaisa hai?


~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...