Tuesday, December 18, 2012

Kisi se jud gaye aise, juda hona ab accha nahi lagta


Kisi se jud gaye aise, juda hona ab accha nahi lagta
Nazaron se ghayal huye, thik hona ab accha nahi lagta

Yaadon mein khoye, kuch aur sochna ab accha nahi lagta
Khwabon mein doobte rahe, kanara ab accha nahi lagta

Nazaron mein khatka aise, koi aur ab accha nahi lagta
Nindein le gaya koi, raaton ko sona ab accha nahi lagta

Intezar mein guzare din, kahin aana-jaana ab accha nahi lagta
Sath hai zehan mein, kisi ke sath ghumna ab accha nahi lagta

Harkoi bairi hai, kisi ka naam zubaan pe ab accha nahi lagta
Rishte ki dor bandhi aise, khulke jeena ab accha nahi lagta

Jadu hai ya deewanapan ye, sudharna ab accha nahi lagta
Qatil hai mera woh, 'fiza' us se dur rehana ab accha nahi lagta

~ fiza

Wednesday, December 05, 2012

Aaj subha ki barsaat badi anokhi rahi

Aaj subha ki barsaat badi anokhi rahi
Dam-daar barasat pani ki lehar rahi
Gile sadkon se paani ek taraf jami rahi
Ek salone bachpan ki yaad aati rahi
Bina barsati liye bhigne daudi jaati rahi
Khel ek bahana tha bhigna jo chahti rahi
Soccer ho ya phir kabbadi khub khelti rahi
Sham pahunchte shakal anokhi rahi
Acchambhit shakalein dekh hamari rahi
Magar keechad se khelna bimari nahi rahi
Ek nadaani jo khushiyan deti rahi
Milkar dharti se lotkar barish khush hoti rahi
Kaisa woh bachpan kabhi jaldi nahi rahi
Der se ghar pahunchkar phatkar pyari rahi
Daant ke sath tauliye se sar pochna ma nyari rahi
Apne andaj mein dantna aur pyar bhi karti rahi
Agle bar chaata le jaane ki salah deti rahi
Phir wohi gunaah karne ki adat jo meri rahi
Mithi daant ke sang sardi bhi ho jaati rahi
Doctor ki mithi rangeen dawai aati rahi
Jo jhat se accha kar mein mauj karti rahi
Aise pyare pal barsaaton ke aati jaati rahi
Kab bachpan sanwar gaya jawani aati rahi
Ab ke sawan mein jo rang tha woh gulabi rahi
Boondon ka girna dil ke aar-paar hoti rahi
Paani ka bikharna dil mein tufan machati rahi
Un sang nain ladaoon deewanepan ki hadd rahi
Dharti se lipti motiyan jaise mein milti rahi
Armanon ke beej woh boye mein bhigti rahi
Mohabbat ki daastan barsaat ke sang badhti rahi
Unse milne ke bahane hazaar mein dhundte rahi

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...