Tuesday, August 24, 2010

Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha

Rakshabandhan - jo kabhi aise waqt ki yaad dilata hai jab ek maharani ne apni jaan ijjat bachane ke liye dusre raja ko rakhi ke dhaage se raksha ki minnat ki thi aur ye pratha wahan se shuru hui.
Os waqt khoon ke rishte se bhi badhkar maane jaate the rakhi ke bandhan se bana hua bhai-behan ka pyaar...aur aaj shayad khoon ke rishte mein hokar bhi bhai-behan kahan nibha paate hein?


Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Pyaar ka rishta jise bhaiya kaha jata tha
Atoot bandhan tha
dhagon se badhkar majboot tha
Athkheliyon mein aur ladakpan mein
Behakte kadamon ki dastaan chipaye rakha tha
Aisa pyaara aur salona rishta tha

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Kab woh itna bada hogaya
Jaane kaise dhaga kaccha hogaya
Barson ke iss rishte ko dhage se todd diya
Kis baat ka garoor tha na jaane kis baat ka veham
Woh rishta toot te gaya kache daage sa
Woh rang phika hote gaya holi ke rangon sa

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Aaj yaadon ke gharonde mein baith
Soch rahi kis kadar bitaaye woh pal
Jab maan-baba se chipate the mastiyaan
Gid-gidakar maufi mangte the oonki ghalatiyon per
Kya iss kadar sab badal gaya
Kya oss rishte ko bhula diya

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha
Kal maut khadi samne nazar aati hai
Aaj beete kal ki yaad satati hai
Kaun kahan se aaya tha
Kis kokh se janma tha
Aana -jana laga rahega
Kaun kis gali mein phir janmega
Bhai-Behan ke rishte yoon koi nahi nibhayega

Meine bhi nibhaya tha
Dhagon ke bandhan mein bandha tha

~ fiza

Wednesday, August 18, 2010

Ek Phul...

Swantantrata diwas ki shubhkamnayein doston...ye ek iss tarah ki azaadi hai jahan desh per mar-mitne ke liye kisi ki bhi ijazat nahi leni padti ...aise hee jasbaat ubhar kar nikale jab desh-premiyon aur shaheed jawano ko yaad kiya aur shradhanjai arpit kiya...




Ek phul jo toot ke
gira
Ladkhadata hua ja
atka
Tehaniyon per
Aandhiyon ke jhokon
mein
Na phanskar
Woh phir gira vahan se
Lekin,
Patton ke beech ja phansa
ab ke
Jaanwaron ne bhuk mitayee
Patton ke sang woh phul
Phir Kaheen
Chip gaya aur leharata hua
Oos waqt path par ja gira
Jab shaheedon per mitti dali
gayee!!!

~ fiza

Saturday, August 07, 2010

Tu aur kareeb hee ho chala hai

Kabhi -Kabhi Dil guzre huye pal ko yaad karke hee mastmaula ho jaata hai. Kisi apne ke dur hone per bhi khayaalon ki kambal bunte oose der nahi lagti aur phir oosi kambal ko apne se lapetkar woh hijr ki raat bitaata hai...aise hee kuch asmanjas mein pade mann ki halat ko pesh karne ka pryaas...

Shyam ke is chanchal ban (jungle) mein

Mann chanchal ban ho chala hai

Phir bachpan ki athkeliyon mein
Mann khelne aaj phir chala hai

Bad-mast voh pawan sang Main
Chori-seena zori kar chala hai

Mast-Maula Logon Ki Bhid Mein
Kyun mann tujhe soch chala hai

Masti bhare iss shyam mein
Kyun dil tujhe dhunde chala hai

Kareeb se bhi kareeb hoon Main
Phir kyun mujh se dur chala hai

Dil ke bagdor ki majbooti mein
Tu aur kareeb hee ho chala hai

Fiza soche hein iss bhagdad mein
Kyun ye mann manchala ho chala hai

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...