Tuesday, January 15, 2013

Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha


Mehakta sa ek khwab hai Muskurati hui subha
Sochne per deewana kare Aur jagaye nayi asha 

Aankhon se baatein karna Zubaan se na kuch kaha
Samjhne wale per beete so beete Achambhit ye dil hua

Be-maut he mara gaya dil bechara, Kab ye kahan hua?
Uske pyaar mein awaz nahi hoti Magar dil tak ja chubha

Milkar us se mein gair hui Usiki bahon mein jaise sab khoya
Us se dur rehakar bhi Uske khayalon mein jaise bani shobha

Khud ko luta aayee uski bahon mein Chand lamha he hua
Uske tan ki khushbu saanson mein Ab bhi hai mehaka hua

Dur rehakar na chen aaye, Kaisa hai kambhakht jiya
Dil uske liye tarse dekhe Mehakte huye khwab har lamha

~ fiza

Tuesday, January 08, 2013

sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!



Kisi se dil lag gaya is tarah, ek rog ho gaya jaise!
Kisi haal mein na hoye ilaaz iska, ab kaise jiyein aise?

Shoq nazar, aur shararti hansi uski sthir karte hein aise
barf mein jama hua koi panv, nikalne ko bechen ho jaise!

Chune ko use dil hamesha tarase, par hathash hai dil aise
sharm-o-haya ke jungle mein, phansa ek musafir ho jaise!

Kitni der jakadun main apne aapko, dur rehakar usse
Milan ki aas aur phir uski pyas, barkaraar aise!

jab sayyam ka bandh toota to, tufan sa takraya jaise
Phir jo dhul-mithi ki tarah ghule, na fark kar sake aise!

Pyar ke is bandhan mein, murat jaise bandhe hum aise
Har koi dekhe to kahe - Kanha-Radha ka milan ho jaise!!

~ fiza


करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...