Wednesday, July 25, 2012

Chale bhi aao ek baar meri gali


Din guzarte rehate hein yunhi
Musruf hoon ke ginti hoti nahi
Chaye rehate ho har pal sahi
Niharte rehati hoon chehara wahi
Mastiyan chalkaati khushbu pyaar ki
Ke dil badmashiyan kare kayi
Aankhon se jo kal baatein ki
Labon ne samjhaya aaj wahi
Dil ki dhadkan tez kuch hui
Ishaaron se yun simati hui
Musruf hoon kaamon mein yunhi
Afsaana sabhi ka bhi,rona yehi
Chale bhi aao ek baar meri gali
Ke 'fiza' hai intezaar mein khili

~ fiza

Friday, July 13, 2012

Prakruti Ka Khel :)






Neela-neela ye gagan

Shwet baadalon ka liptan

Geela-geela neela-neela

Behata paani sa badan

Bhura-bhura ye zameen

Paas ho kar bhi pyaasa

Ek pal lage ose bhigodoon

Paas jakar pyaas bujhadoon

Sochon mein hai ye nazdikiyaan

Dekhoon to koson hain duriyaan

Dilon ki baaton ka kya hai kehana

Duriyon mein bhi aata hai pyaar basaana

Chahe rahein dur chahe rahe paas aashiyaana

~ fiza

Thursday, July 05, 2012

Kal raat kali chadar odhe




 Kal raat kali chadar odhe
 Angadaiyon ke silvaton mein
 Dur khila sa chaand dekha
Badalon ki dhundhlahat mein
Pedon ke ghane chaanv mein
Tum aaye kuch yoon kareeb se
Aahon ki laptein othin jhat se
Jal jaoon is pal mein mai
Tum sang aise mil jaaon pighalke
Na fark rahe chaand aur chaandni mein
Jab bhi koi humein dekhe gaur se
Mein tum mein aur tum mujh mein samaye aise
Dur neel gagan mein taaron ke gaon mein
Kuch din thehar ke yun hee mil-julke
Geet gayein sang milan ke
Khwabon ki ladiyaan piroke
Kuch tum chun na kuch mein chunungi
Geet-sangeet ki dhwani bankar
Anant kaal mein goonj oothungi
Jab bhi pooranmashi aaye
Mere sang mera chaand bhi aaye
Pyaar ke aagosh mein rehakar
Is jag mein roshni phailaye
 
~ fiza

Monday, July 02, 2012

Uski Nazarein ;)

Hum apne dinchrya zindagi mein kitne hee logon se milte hein aur kitno se to sirf nazarein hee milti hein aise milne -milaane mein kab kahan kaun dil ke gharonde mein bas jaata hai ye to shayad khud dil bhi nahi jaan paata :) aise hee ek jasbaat ko pesh karne ki koshish....

Kisi ko dekh seene ki dhadkan tez hogayii
Uski nazarein mujhe der tak ghurti rahii

Dil machal ootha anayaas hee sahi
Der tak uski nazarein peecha karti rahii

Uss gadbadahat mein na jee bhar dekh payii
Nazaron se jo khenchi tasveer wohi le aayii

Dur tak saath diya unn nazaron ne mera
Musruf rakha har pal apne khayaalon se hii

Dil ke armaan machale huye se tadpa gayii
Tasveeron mein hee jee bhar pyaar kar payii

Armaano ke phulon se sajaya khwab kayii
Bairan ab ye mann gaati hai dhun uske kayii

Ab ye alam hai unn nazaron se ghayal kya huii
Mujhe to raas koi na aaye 'fiza' ab bas wohii

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...