Monday, May 21, 2012

Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan


Kyun hota hai pyaar ye sochkar thi pareshaan
Ehasaas hua hai ye Uss se durr rehakar 

Pyaar na chahe beshaq zindagi ko baar baar
Zindagi chaahati hai ho pyaar beshumaar

Virah ki ghadi kis kadar gumraah kar deti hai
Beemar ka haal accha hai jo pad gayee Ek nazar

Rukha sa be-jaan jism chalta-phirta hai idhar-udhar
Jeene ke rang bhar deta hai ek mulaqat mukhtasar

Jo ab tak the musrufiyat ke jaal mein chipe huye
Hulchal sii macha rahe zehan mein Harpal har mod per

Yun hota hai pyaar ye jaana, aaj mehasoos kiya meine
Dil betaab aur behaal hua jaata hai oske khyaal per

Ye bhi kya fasaana hai, pyaar mein yuN deewanapan
'fiza' bebaak see rehagayee armaanon ke bahaav per

~ fiza

Saturday, May 12, 2012

Kisi roz hum bhi aajayeinge iss toofaan ki girafat mein meri jaan


Jab tak chipa hai baadalon mein chaand
Tab tak rehati hai dil mein utsukta meri jaan

Adh-dhaka chehara aur adh-khuli chitthi
Taraste hein jalim ladke padhne meri jaan

Jitna bhi khule kam hai badali mein ya parde mein
Chaand to chaand hai chehra to aapka hai meri jaan

Dhaki palkon se woh aankhein chahe kuch kahein ya sochein
Jab ghurti hain to saayein –saayein karti hein dil mein meri jaan

Aise hee adh-khuli see baatein aur ehasaas jalti-bujhti hui see
Jab izhaar karein dil kholkar tab kareeb hone se darte hain meri jaan

Milne ki aas aur paani ki pyaas jaise tilmila dete hein har kisiko
Saamne dekhkar dil pagla jaaye khushi se kya karein kya na karein meri jaan

Jis tarah lu sametleti hai poore shehar ko apne giraft mein
Kisi roz hum bhi aajayeinge iss toofaan ki girafat mein meri jaan

Jhulas raha hai boond boond paani garam tave per jaise
Osi tarah jhulaste hein mere armaan dil mein pighalte huye meri jaan

~ fiza

Tuesday, May 08, 2012

Tum chaand ko dekho wohi to mein hoon


Kal uske aane ki taiyaari mein
Subha – sham ek kar diya meine

Sochte har dum khayaalon mein
Ek roz guzaar diya meine

Jab nikal aaya woh badalon se
Mai soch mein pad gayee dekhne

Kabhi ose to kabhi ise mein dekhoon
Tilmila ootha dil, chehare jaise aayeene

Oski halki ek muskaan ne jaise
Le lee ho meri jaan, dhadkano ne

Tum chaand ko dekho wohi to mein hoon
Un nazaron se teer chalaya hum per usne

Dil jhum ottha oss pagle ki baton per
Chand ki chandni mein ranga mujhe usne

Kabhi mein ose dekhoon kabhi mein ise
Kis tarah begana kar diya mujhe sabse usne

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...