Thursday, December 22, 2011

Na girne ka bhay na sambhalne ki aas...


Na girne ka bhay na sambhalne ki aas
Pighalte huye mann ki hai ye pyaas
Udte dur gagan mein dhundte huye
Os pal ko qaid karne chali thi mein
Hasaas se bhare pal kisi ke choohne se
Mann patang ban ke udne lage
Wohi pal jahan na udne ka dar na girne ka
Sambhaloon to kis ke liye aur kis tarah
Ye to ehasaason ki ladi hai buni hui
Yehi baandh lenge mujhe iss pal- pal se
Phir jee loon os pal ko jo bandhe hein
Khol doon os dor ko jo simatein hein
Phir ek bar mein girun aasmaan se
Jahan girne ki na sud-ho na bachne ki budh
Ye woh palchin hein jinhein kisi ne
Sanware hain apne bosse se
Narm saanson ka chalna aur gale per
Marmari hathon se chukar mujhe
Paas lekar apni aur ek sparsh sa halka
pyaar se bhara woh bossa dekar
Le chala os aur jahan se
Mein giri bhi aur na sambbhali bhi
Os pal ko os shaks ko lekar
Apne kar-kamalon se pakadkar
Pyaar ke ehasaas jagane wale per
Dil ki geharaiyon mein jakar
Prem ka woh alaap racha seene mein
Maano sangeet ki dhwani naach oothi ho
Dil ki dhadkano ka sangam yoon ho
Do jism mein rehakar bhi ek dhun gaane lage
Os geet mein kaun gaaye kaun sune
Is dhund ki geharayee mein jakar
Kise kab ye ehasaas rahe ke
Mein giroongi bhi ke koi sambhale bhi mujhe
Ek palchin ka woh mela jismein ghoom aaye mein!
~ fiza

Sunday, November 20, 2011

Ek dor see bandhi hai beech...

Rangat os gulab jaise,
Gaalon ki khusboo se
Aankhon se baatein karna
Kajal se bhare naino ka
Bolna phir sharma jana
Kis ada se woh dur rehati bhi
Apni hasi se mujhe paas bulati
Aur dil dhadkakar ghum ho jaati
Is ghum hone aur milne ke beech
Jo fasla mujhe zinda rakhti
Osi ke duaon ki hai ye jhalki 
Ek dor see bandhi hai beech
Jo mujhe khenchti hardam
Mein milne ko tarasoon to
Woh bahane ko tarase marham
Chot sambhal bhi jaaye lekin
Milkar juda hote hain humdum
Harpal hai ek jeena aur marna
Ek sukhad jeevan ki aas hai
Bicharna aur yoon milna
Oski rangat, meri aankhein
Oska hasna aur mera hasana
Ek pal ke liye jag ko bhulana
Ankahi baatein bayan karna
Dil ki dharkan boond jaise
Tup-tup-dhum-dhum aise
Barsaye pyaar os per jaise
Sangam ki shuruwaat phir se

 ~ Fiza

Wednesday, October 12, 2011

Shringar Ras Mein Kaamdev Ka Vyasan


Raat kali chadar odhe
Woh singar kare laal jode
Mathe per laal chand liye
Woh gori ladi zevaron se
Hath mein le pyala khadi dur se
Rahi ki pyas bujhane waaste
Jab jhuki laj se ghungat mein
Pyaase ki pyaas aur badhi dil se
Woh saaj-singar mein kho gaya
Kab oski ankhon ka teer chal gaya
Dil ke ghav ko na sehan kar saka
Pyaar se karkamlon ko chua osne
Bijli see daudi  oske tan-mann mein
Laaj-o-sharm se pagal hui deewani
Shringar mayee tan-mann se
Laaj mein khoyee sud-bud apna
Tan se gira aanchal farsh per
Honi ko na woh taal saki jaise
Jhat se rok liya oos pal ko
Asmanjas ke dwand mein sahi
Dono aalangit huye parchayee se
Shringar ras mein kaamdev ka vyasan
Iss chaupaayee ke paatra wohi hain
Aalingan se prasanna kaamdev
Jab do dilon ka Milan hua
Pyaar ke iss nazuk mod per
Do shareer ek mein badle
Jab oske mathe ka chaand
Halka bikhra bistar per mila
Safed chadar ki laalima ne
Keha daali do dilon ki dastaan
Sneha ki bhasha ek hee sahi
Ose behalane ke kayee sadhan
Aaj bhi shringar kare to woh jab
Oss raat ki kahani anayaas muskuraye

~ fiza

Monday, October 10, 2011

Kal Mujhe Bhi Paoge Apne Sang Bagal Mein

Udasiyon ke pal tum mere sang the
Meri tanhayeeyon ki aahat tum hee the
Meri kamzor palchin ke lafz bankar
Awaz se mausagi ko raushan kar
Ye tum hee the jo mere sang sang rahe

Mujhe buland kar bahaar laye
Jeevan mein rang bhar gaye
Udas doston se kahi kahanee
Meri khushi ke raazdar tum rahe
Ye tum hee the jo mere sang sang rahe

Jab pehali baar mili thi tumse
Sud-bud khoyee bas dekha tumhein
Mere sang rahe tasveeron mein
Yaadein chor gaye dil ki ravaniyon mein
Ye tum hee the jo mere sang sang rahe

Aaj tum chale gaye dur kisi dhund mein
Chuppa-chuppi ke ye pal dhundne mein
Tum se milkar tumhein hee sun ne mein
Kal mujhe bhi paoge apne sang bagal mein
Aur ‘fiza’ Tab tum rahoge mere sang mein

~ fiza

Saturday, October 01, 2011

Jaise Behata Jaye Ye Paani

Kal kal behata hua paani
Madhur sangeet bhare mere kaano mein
Jaise behata jaye ye paani
Waise behala jaye mera mann

Oski umangon mein mera tan
Machale jaise balkha ke
Jaise behata jaye ye paani
Waise behala jaye mera mann

Dil ki udaan tarango sa jaan
Mera tan dole to kabhi mann
Jaise behata jaye ye paani
Waise behala jaye mera mann

Simat gaye band seep samaan
Na hosh rahe na aagosh bhare
Jaise behata jaye ye paani
Waise behala jaye mera mann

Na hon judaa is pal, kal behata paani
madhur sangeet bhare mere kaano mein
Jaise behata jaye ye paani
Waise behala jaye mera mann


~fiza

Friday, September 09, 2011

Na-milkar bhi juda nahi hain - Meri Parchayee

Insaan kayee baar apne aapko akela samjhkar bhi ek baat zaroor jaan leta hai ke woh akela nahi hai kyunke koi nahi to ooski parchayee sada osi ke sath rehati hai ...bas waqt-be-waqt woh aati jaati rehati hai ....aise hee jasbaat kuch yahan piroye hain... ;-)
Do dil ek jaan hain 
Magar yun bhi
Mere saaye ki tarah 
Mere sath ho tum bhi
Mere andar ki baatein 
Sab jaante ho tum
Mujh mein rehakar 
Sab mehasus karte ho tum
Itna sab warna 
Kaise pehachaante ho tum
Mere andar samakar 
Parchayee see nikalkar
Mujhe mere hee roop se 
Milvaate ho tum
Ek muskurahat per sab 
Kurbaan kar dete ho tum
Kaise ye sab kar lete ho 
Parchayee bankar reha lete ho
Mere sochne se bhi pehale 
Tum meri chaah jaan lete ho
Iss kadar koi 
Do jaan ban sakta hai?
Sawal yehi oothta hai lekin
Jab dil se dil ki raah ho
Kaise mein na kahoon
Tum meri parchaayee ho
Mere sang -sang chalte ho
Dur se dekhkar mujhe 
Mujh hee se milaate ho
Kaisa sanjog hai ye
Na-milkar bhi juda nahi hain
Ek dil Ek jaan huye hain
Sukh-dukh ki baag-dor
Jaankar anjaan se bankar
Sukh ki potli mujh per girakar
Koi kaise dur se hanste dekhe...
Aur phir kehata phire  
Zinda hoon to isi ke liye
Jahan oski khushi  
Mein wahiin khush hoon
Aise ho tum mere parchayee
Mujh mein rehakar 
Parchayee ban jaate ho
Aise mere tum parchayee ho

Friday, August 05, 2011

Haye kare 'fiza' iss duniya ko chahe tu kare na kare manjoor!

Ek choti kavita likhne ka nimantran aaj mila email ke zariye, aur soch kuch oon dino par gayee jab sher likhne ki koshishein kiya karti thiN. Aaj bhi wohi koshish jari hai...meter ke hisab se na parkhein kyunke oss kabil abhi hum nahi pahunche...lekin jaise jaise zindagi ki haqiqat humein iss duniyadari ke baare mein sikhlati hai to lafz yoon he dil se nikal padte hein....isilah ke umeed mein...



Oske chaukhat se rukhsat to hona tha manjoor,
Khali haat sahi pyaar ki ruswayee nahi thi manjoor!

Banavat ki duniya hai saja sajaya mehafil hai manjoor,
Insaaniyat ki bhi wah-wahi banavat ho ye nahi manjoor!

Tu kehata hai pyaar hai tujhe, chalo ye bhi sahi manjoor,
Tere karni mein woh baat nahi phir kaise karein manjoor!

Khudgarz hon duniya mein ye katayee nahi manjoor,
Ek aadh se umeed banaye kya ye bhi nahi manjoor?

Teri duniya ajab nirali, tere khel sahi mein manjoor,
Sabhi ko saare rang yaheen deekhlaye aur kare manjoor!

Khush hoga tu iss duniya se duniya walon se manjoor,
Haye kare 'fiza' iss duniya ko chahe tu kare na kare manjoor!!

~ fiza

Wednesday, July 27, 2011

MashaAllah! Ye Bhi Kya Baat Hui!!!

Kayee baar hum bahut see khushiyon mein sahi khushi ko bhula dete hein aur jab sahi khushi ka ehasaas hota hai tab jeevan ke khokle pan se rabta parta hai... :) insaan ki khushi oski choti-moti aur aas-paas ke logon aur rishton se banti hai, na ke paise, mahal aur matlabi pan se....aise hee gehare ehasaas liye prakriti ka sahara liye kuch likhne ki koshish....


 
Mujhe jannat mili naseeb se
Oski dua kabool hui
Aur ose mein mili
MashaAllah! ye bhi kya baat hui!

Barson se tadapti-ladkhadati see
Patharon se takrati hui
Oske sagosh mein namra hui
MashaAllah! ye bhi kya baat hui!

Behata hua paani patton se bhara
Dekhne mein pyaas se murjhayi hui
Tinke se khushi barkarari
MashaAllah! ye bhi kya baat hui!

Sab mitti mein mil jana hai
Khet Khaliyan, behati dhara sahi
Par milo to aise na farak mehasoos ho
MashaAllah! ye bhi kya baat hui!

~ fiza















Wednesday, July 13, 2011

Mein Pareshaan Hoon!!!


Mumbai mein bam phatne ki khabar ne insaan ke insaaniyat hone ko lalkaara hai…! Aaj har koi iss avesh mein hai ke kaise iska moonh tod jawab mein doon, aakhir sehanshil hone ki bhi ek hadd hoti hai…
Mein hairaan nahi
mein nadaan nahi
mein sehansheel hoon 
magar itna bhi nahi, 
Bas mein pareshaan hoon!








Kyun majboor kare mujhe koi
aankh ke badle aankh
aur jaan ke badle jaan loon?
Bas mein pareshaan hoon!
Lashon ke dher mein bhi
roji -roti ki bhagdad hai
kisi ko rota dekhkar bhi
puchkarna na aaye mujhe
Bas mein pareshaan hoon!
Aur na inteha le mere sabr ka
mein bhi insaan hoon
toot na jaye mera bandh sabr ka
tujh mein mujh mein kuch to reha jaye farak
Bas mein pareshaan hoon!
~ fiza

Tuesday, July 05, 2011

Sath rehakar bhi hain juda juda

Raste ke do kinare hon ya phir rail ki patari...sath to woh rehate hein hamesha lekin oonka milan hote dekha hai kabhi? Ye kuch logon ki haqiqat bhi hoti hai...sath rehakar bhi woh ek hote nahi kyunke oonka milan he mumkin nahi ...




Seedhe tedhe medhe anjaan raaste
Sadkon per se aate jaate raaste
Har koi iss per se guzar na chahe
Aise anjaan magar ullas wale raaste

Ek se ek jud gaye woh aise raaste
Maano seedhe seedhe chalein sath mein
Sath rehakar bhi hain juda juda
Aise the woh rail ki patari wale raaste

Jungle hon khet khaliyaan ye raaste
Kabhi raaston se sheharon se guzarte
Patari to hote hein sath chalne ke waste
Kabhi dekha hai onhein milte huye


Kahani hai ye onn raaston ke
Onn logon ke onn bastiyon ke
Sath rehakar bhi hain juda juda
Aise hain sammelan patari ke

~ fiza



Tuesday, June 28, 2011

Barsaat Ki Bhigi Bhigi...

Anayaas, anhoni se mausam mein jab barsaat ki barish ghangor barasti hai tab dil ki halat koi kaise samjhaye....ishare hee kaam aate hein ;-) ek natkhat sa, chul-bula sa aapki nazar...



Barsaat ki bhigi bhigi
Geeli geeli meeti se
Saundhi see khusboo
Mere saanson mein
Meri rooh mein
Mehaka gayee jaise
Mohabbat ki pehali
Milne na-milne ki
Saundhi kashmakash
Dil milne ko bekaraar
Kabhi sirf dekhne to
Kabhi sirf choone ko
Barsaat ki ye bhigi bhigi
Geeli geeli meeti tarsaye

~ fiza

Tuesday, May 17, 2011

Jungle Mein Ho Jaise Mangal Jaani

Barish ka mausam aur os par panchiyon, billiyon aur madmast pahadon ka mishran ...mere office desk ki khidki se aankhon dekha ek vivaran iss kavita ke dwara pesh karne ki koshish kar rahi hoon....izajat dijiyega....


Dhundhlate pahad barasta paani
Jungle mein ho jaise mangal jaani
Bhig nikale hein panchi jodiyon mein
Bhiga ped bhiga jungle paani mein

Jaitun ki daliyon mein baitha joda
Mausam ka anand lene jo badha
Lapak kar chalaang mara billi ne
Pyaar ke khel mein is bairagi ne

Boondon ne kiya sangeet leela
Panchiyon ka cheha-chahata mela
Oss ki boondon se peekar pani
Rail ki sitti se darkar phur hui jani
 














Charon taraf hai hariyali he hariyali
Khila pahad khila jungle aasman neeli
Phulon per bhanvara kare gunjan
Panchiyan chonch milakar hogaye magan

Badalon ka chatta liye aasman
Panchiyon paudhon per hai meharbaan
Ek jharokhe se dekh ye drishya
Lalayit ho ootha jaise mera bhavishya

Dhundhlate pahad barasta paani
Jungle mein ho jaise mangal jaani
Bhig nikale hein panchi jodiyon mein
Bhiga ped bhiga jungle paani mein

~ fiza

Wednesday, March 23, 2011

Bhigi bhigi raaton mein

Aajkal kaale kaale badal jahan ghire rehate hein har dam maano kisi ko apne aalingan se chipa rahe hon aur to aur barish ki boondein dil ke armaano ki baarish iss tarah karte hein ke jungle mein bhi morr naachne hee lagta hai...phir ye pagal mann kyun na naache aur kyun na behake ;-)

Bhigi bhigi raaton mein
Bhigi bhigi baaton mein
Jaane kya keha gaye tum
Jaane kya sun gayee mein
Behalte behalte chali mein
Tere pyaar ki galiyon mein
Sukhe patton ki bhanti
Pyaar ke surur mein
Bhigi bhigi raaton mein
Bhigi bhigi baaton mein
Jaane kaun waqt aaya aur
Jaane kaun waqt gaya per
Umangon ke saagar mein
Gote khata hua ye mann
machalta hua ye mera mann
tum sang hone ko tang hua
Bhigi bhigi raaton mein
Bhigi bhigi baateon mein

~ fiza

Friday, March 18, 2011

Kharondti Humein Idhar Oodhar

Zindagi ki parchahiyaan aise
Jaise sath koi nikal pade
Din badalte rahe lekin
Mausam wohi suna suna
Kaash ye waqt -be-waqt
Phisal jata kisi aur mod
Hum bhi jee lete aur
Tum bhi jee lete phir
Zindagi ki parchahiyaan aise
Kyun kharondti humein idhar oodhar

Zindagi hai zalim magar
Parchayee bhi bane tab
Jab sath mein sooraj aaye nazar
Warna kaun zindagi aur kya parchayee
Ye to matlab ke hain khel
JO nazar aaye har din idhar oodhar

Kaash na hoti koi bediyaan
Zindagi, zindagi na rehakar
ban jaati koi kathputliyaan
Na hota kisi per hak na jimmedari
Jo hota khel rachane wala
Wohi majdhar mein bhi sahil bana rehata
Na hota afsos kisi se ke kya hua idhar oodhar
~ fiza

Friday, March 11, 2011

Thursday, March 10, 2011

Something that put me to think...The impending Singularity in our future is increasingly transforming every institution & aspect of human life, from sexuality to spirituality

Wednesday, March 09, 2011

Irritability is immaturity of character. If U R subject 2 being cross & unpleasant with others 4 no apparent reason, U need 2 come face-2-face with the fact that U R thinking too much of Urself. After all, Ur feelings R not the most important things in this world
Something tht I read - I am neither bitter nor cynical but I do wish there was less immaturity in political thinking.
Franklin D. Roosevelt

Wednesday, March 02, 2011

Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki

Ghane kaale - kaale badal aaj jab toofaan ke aane ka andesha dene lage to kuch anayaas aise khayaal nazar aane lage...pesh-e-khidmat hai...




Dhundli see hai fiza aaj kaali ghata bhi
Tufaan ke aane se pehale ki ye awargii

Obal rahe hein ehasaas khamoshi mein
Jis tarah bul-bule garajte hein patile mein

Hukke ki bod-bod mein dhuaan oodata hua
Sukoon de magar jalte tambaku kise deekhe

Mom ke pighalne ki kise padi hai ab
Jab diya jale roshni kayam rahe tab

Leharata nachta patanga lalten per
Naachte woh marta hai pyaar per

Jalo to Lakadiyon ki bhanti jalo
Ke raakh ho jayein  phir bhi kaam aayein

Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki
Na to woh barasta hai kabhi na badalti hai ghata kaheen

~ fiza

Saturday, February 19, 2011

Na mukar jana kisi mod per aakar...

Ek dost ke janamdin per dil se duayein hee nikalti hein aur aise mein kavita likhne ki farmaish bhi kee jaaye to janab kuch maange bager to reha nahi sakta ye kambakht dil ;-)


Ek kavita tumhare janamdin per
Taufa kabool farmaiye per
Jo maangein hum tumse to
Na mukar jana kisi mod per aakar


Ye hasta hua chehara khila rahe
Na aanch aane de iss muskaan per
Ye wada aaj hum se karein
Na mukar jana kisi mod per aakar


Umeed se bhari muskaan apni
Jeene ki aas badhayein sabhi ki
Dhadkan bani rehana yoonhee onki
Na mukar jana kisi mod per aakar


Dil se yehi dua nikalti hai aaj
Tum raho aabaad aur khushaal
Maanga hai oos khuda se bhi yehi
Na mukar jana kisi mod per aakar


~ fiza

Tuesday, February 08, 2011

Hawa ke zhonke sa...





Ek ehasaas jise keval mehasoos hee kiya ja sakta hai...jiski hone ki kabhi khabar pehale se nahi hoti...lekin jab ye ehasaas ki anubhuti ka pata chalta hai tab tak ehasaas ek atki hui saans ki tarah dil mein phansi rehati hai aur tab...kya kya sochta hai insaan...ek koshish ...




Hawa ke zhonke sa
Oska aana aur phir jaana

Pal bhar ke liye hee sahi
Jee mein sau tarangon ka aana
Is pal ko mein jee loon ab
Sau jeevan kurbaan sahi

Hawa ke zhonke sa
Oska aana aur phir jaana

Mere dil se athkeli karna
Phir sapno mein chali aana
Aankh khulte hee jaise
Khusboo see ood jaana

Hawa ke zhonke sa
Oska aana aur phir jaana

Dil ke armaan huye bekaboo
Zhonkon sa aana jaana
Khusboo phailakar ghum ho jaana
Aur na khelo ankhmicholi

Hawa ke zhonke sa
Oska aana aur phir jaana

Ab ke aao to band kar loon mein
Seene se, dil ki geharayee mein
Khusboo sa ehasaas hee sahi
Banke meri subha tum rehana

Hawa ke zhonke sa hee sahi
Tum aana aur phir kabhi na jaana
 
~ fiza


करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...