Thursday, November 12, 2009

dil ke kone mein ek aahat hui

Mere pyaare doston....bahut dino baad kuch likhne ki prerna praapt hui aur fiza ne hamesha ki tarah is mauqe ko haath se jaane na diya :)

Aap sabhi ki rai ki muntazir....umeed hai aaj bhi woh jazba liye huye aap padhenge aur isilaah denge :)

zindagi ki ajab dastaan jab sab kuch hasil hone ke bawajud aap kisi baat per aakar ruk jaate hein, jaise maano kaheen pehale se bhula hua afsaana :)


Bahut dino baad ek khalbali see
dil ke kone mein ek aahat hui

Kuch jaise peeche chooth gaya
kuch dastan haqiqat mein bante hui

Baat se baat bankar afsana chidha
maano jeene ki shuruwaat hui

Bediyon ka ehasaas dilaye koi
Muskurahat see gale mein padi hui

Meine mudkar kal ko na dekha
Aaj jaise balkha ke aati hui

Iss pal ko jeene mein maza hai
woh kal ki pareshani maloom hui

Jee le khushi mein aaj tu e-dost
Kal to nazar bhi hai dhundhlaati hui

Maano koi chilakar kehata hua
Mere dil ke kone mein ek aahat hui

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...