Saturday, June 30, 2012

Intezaar mein hoon kab aaoge mere angana...

Kal sham tumhein dekh bahut socha

Kyun mein tumhein chahoon itna

Phir gaur farmaaya oon aankhon per

Kitne pyaar se dekhte ho tum mujhe

Jahan sirf pyaar hee pyaar nazar aaye

Na kabhi daantna-phatkaarna mujhe

Durr se bas dekhkar mujhe

Kar dete ho pyaar mein tallin mujhe

Kheench lete ho bina dor apni orr

Tadapta yoonhee mujhe yahan chor

Shaleen mann se dekhna meri orr

Aur ye kehana mujhe har pal har roz

'Chorunga nahi jab kabhi mile mauka

Dil kholkar pyaar tumhein mein dunga

Bhul jaogi kabhi mein chaand hoon

Dur gagan se niharta raha hoon

Chanchal hasi aur badmashiyon mein

Kabhi tumne bhi mujhe pagal kiya

Chaand hone ka dukh tab us pal hua

Lekin mein phir bhi wada karta hoon

Chahoonga tumhein raat din yunhee

Tum isi tarah barsaate rehana pyaar

Niharte rehana mujhe pyaar se har raat

Jis din aajaoonga bahon mein tumhare paas

Hosh uda doonga pagli tumhare mere sath' 

Aaj mein un baaton ko yaad karoon chanda

Intezaar mein hoon kab aaoge mere angana

Pyaar se milan hoga hamara-tumhara sajna :)

~ fiza

Thursday, June 28, 2012

Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen...















Bechen raatein aur din mayusiyon sa
Tum bin mora jiya saiyaan lage na kaheen

Behala-phuslakar dekh liya har palchin
Becheniya badhti hai na dekhun jo kaheen

Chip jaate ho badaliya mein dekh mujhe
Pareshaan dekh maze lete ho waheen kaheen

Ye jaankar bhi kitna sneh hai mujhe tumse
Jhalkiyon mein milte ho hamesha tum yaheen

Amavas ki raat jo na tum aao nazar mujhe
Kam se kam baahon mein le lena kaske vaheen

Na dekhun kayee din to dil dhadakna band karde
Jeene ki phir koi vajah aati nazar naheen

Kal raat jab nazaron se teer chalaya tumne
Saans tar-batar, dil badmashiyaan kare yunheen

Kayal hoon deewani bhi aur pagal sanam mere
Kis kadar bas gaye ho tum mujh he mein kaheen

Aajkal mein bahut khush hoon na jaane kyun
Dekh 'fiza' chaand ke tukde ko judta waheen

~ fiza

Friday, June 22, 2012

Zindagi se wafa khair, bekaar lagta hai

Dil aaj kuch yun mayoos sa lagta hai

Har koi bewafaa aur khudgarz lagta hai



Kabhi pyaar ka izhaar jhootha lagta hai

Apna kaam ho phir barbaad sa lagta hai



Dikhave ka tevar cham-chamata lagta hai

Andar se magar sab khokla lagta hai



Lathi bankar sahara diya aisa lagta hai

Chalte he wohi lathi sar par lagta hai



Jeene ka kuch tarika aisa lagta hai

Har koi istemaal karne wala lagta hai



Ab to jism-o-jaan bhi paraya lagta hai

Zindagi se wafa khair, bekaar lagta hai



~ Fiza


Wednesday, June 20, 2012

Woh chaand hee to sehalaye mujhe

Aaj dil phir toota kisi gali mein

Humne phir joda ose samjha-bujhakar

Is baar magar dard kam na hua 'Fiza'

Dil se dard kaheen aur nikal chala

Waqai dard seene mein na basar kar saka

Gali-gali bhatakta shareer mein woh

Apni suraakh banata hua chala woh

Khokla kare pehale se zamaana idhar

Ab bacha kucha halla kare woh rehaguzar

Din chadhe aur dhale jab ugta suraj

Woh chaand hee to sehalaye mujhe

Khush hoon mein aaj oski nazar mein

Apni pehachani jaati hoon is yug mein

 

~ fiza

Friday, June 15, 2012

Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai

Dil ki dhadkan tez hui jaati hai
Sham ko jab teri yaad chali aati hai

Din dhalne per aankhein khwab bunti hain
Chaand dekh meri raat rangeen ho jaati hai

Tera yun sataana accha lagta hai
Dur se magar rishta kareeb ka rakhta hai

Kis kis se tera thikana poochti hai
Dil ab kaheen doob jaana chahta hai

Aankhon mein kho gaya koi kajal hai
Teer chalata magar 'fiza' koi aur hai

~ fiza

Wednesday, June 13, 2012

Iss pal ko jee lo jaise sarang

Dil mein kayee hain bhare rang
Kheloon mein holi kis sang
Badalon ke naye naye dhang
Roz kare mujhe chaand tang
Din-raat ki sudh hui bhang
Ab to sapno mein bhi hai jung
Tum kyun nahi milte abhang
Chanchal nain jaise tarang
Seene mein dabe dabaang
Palchin ko tarse malaang
Ek dhunki per nikale ye umang
Iss pal ko jee lo jaise sarang
Phudakti nachti oske sang

~ fiza

Friday, June 01, 2012

Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein...



Ehasaas jo ghul jaye tan-mann mein
Jahan lafz band ho jaye jehan mein
Dhadkano ki awazein sunayein geet
Ek ajeeb see khushi kaheen mann mein
Gud-gudi see kisi ke aane ki aahat sunn
Kare hulchul mann mera chanchal beimaan
Natkhat kare ishaare Aankhon se meri jaan
Ghulkar bhi jo bani rahe pyaas
Aisa hai ye badmsat pyaar!

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...