Thursday, October 25, 2012

Dil aaj betaab hai kuch is tarah






Dil aaj betaab hai kuch is tarah
Oski nazar kahoon ya meri is tarah

Dhadkanein tez kar raha hai koi jis tarah
Tufan mein nikalne ko machalta is tarah

Sudh-budh kho chuki hoon mein ose dekh
Tod har janjaal mein chal padun is tarah

Samet le bahon mein mujhe mere humnawaz
Ke chip jaon badalon mein sang tere os tarah

Saans chalti hai dhak-dhak andhi ki tarah
Chen lootkar muskurata badmash is tarah

Shaleen chith shaanth mukhchin zalim is tarah
Nazaron se ghayal kare labon se muskurata kis tarah

Bemaut hee hum mar mite hein kuch is tarah
Kya rakha hai is chaman mein jalein bhi to kis tarah

Ab na roke rukta hai deewana dil ye is tarah
Chale bhi aao intezaar mein baithi 'fiza' is tarah

~ fiza

Tuesday, October 16, 2012

Ankhon mein basi hai ek nazar




Ankhon mein basi hai ek nazar
Jo dil per kare hain yun basar
Ojhal hone per bhi nazaron se
Rehata hardum meri hee nazar
Aayine sa khila chehara zaroor
Aankhon ki geharayee darbadar
Jhankti  sochne per karti majbur
Kar deti hai deewana mujhe is kadar
Saans badhti hai dekh uski qatil nazar
Jeene ki aas badhaye pal marne ki kasar
Ajab kissa hai khel rahe ye nazar
Dil ki halat horahi hai kamzor magar
Badhte armaan ho rahe faasle kamtar
Nazdikiyon ka sama yaad aata hai dilbar
Mulaquaton ka ho na ho silsila chala hai agar
To mudke na dekhein ab kisi nazar
Pyaar ki mastiyon mein gotte kha rahein humsafar
Yun hee makhmali aadaon se dekhte raho dilbar
Ke chaand ke bahane aajaate ho usmein nazar

~ fiza

करो न भेदभाव हो स्त्री या पुरुष !

  ज़िन्दगी की रीत कुछ यूँ है  असंतुलन ही इसकी नींव है ! लड़कियाँ आगे हों पढ़ाई में  भेदभाव उनके संग ज्यादा रहे ! बिना सहायता जान लड़ायें खेल में...