Monday, April 01, 2024

Waqt se maara maari !!!



Waqt ki baat hai, aur baat waqt ki he hai,

Iska hona-na hona mushkil mein daalta hai !


Paise kharch ho jayein to phir kama lena hai

Waqt ka kya, kharch ho gaye to nahin milna hai !


Khana jab bach jaye to ose kal bhi khana hai

Waqt bach jaye gar to boriyat se marna hai !


Har masle ka, kam-jyada hul bhi kuch hota hai

Zindagi aur waqt kam-jyada huye to sab bigadna hai !


Is waqt ko kya naam de ye 'fiza' mayus hai

Jahan ise thamna hai waheen kam pad jata hai !


~ fiza

No comments:

ज़िन्दगी जीने के लिए है

कल रात बड़ी गहरी गुफ्तगू रही  ज़िन्दगी क्या है? क्या कुछ करना है  देखा जाए तो खाना, मौज करना है  फिर कहाँ कैसे गुमराह हो गए सब  क्या ऐसे ही जी...