Ghane kaale - kaale badal aaj jab toofaan ke aane ka andesha dene lage to kuch anayaas aise khayaal nazar aane lage...pesh-e-khidmat hai...
~ fiza
Dhundli see hai fiza aaj kaali ghata bhi
Tufaan ke aane se pehale ki ye awargii
Obal rahe hein ehasaas khamoshi mein
Jis tarah bul-bule garajte hein patile mein
Hukke ki bod-bod mein dhuaan oodata hua
Sukoon de magar jalte tambaku kise deekhe
Mom ke pighalne ki kise padi hai ab
Jab diya jale roshni kayam rahe tab
Leharata nachta patanga lalten per
Naachte woh marta hai pyaar per
Jalo to Lakadiyon ki bhanti jalo
Ke raakh ho jayein phir bhi kaam aayein
Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki
Na to woh barasta hai kabhi na badalti hai ghata kaheen
Tufaan ke aane se pehale ki ye awargii
Obal rahe hein ehasaas khamoshi mein
Jis tarah bul-bule garajte hein patile mein
Hukke ki bod-bod mein dhuaan oodata hua
Sukoon de magar jalte tambaku kise deekhe
Mom ke pighalne ki kise padi hai ab
Jab diya jale roshni kayam rahe tab
Leharata nachta patanga lalten per
Naachte woh marta hai pyaar per
Jalo to Lakadiyon ki bhanti jalo
Ke raakh ho jayein phir bhi kaam aayein
Haan dhundli hai fiza aaj kuch badalon se dhaki
Na to woh barasta hai kabhi na badalti hai ghata kaheen
~ fiza
2 comments:
Hi,
I stumbled upon ur poetry when I was searching for some couplet that would fit the picture I took. Its a beautiful poetry. Please forgive me for stealing first two lines. I cited you appropriately. In conjunction to your two lines my friend came up with his own two lines.
Dhundli see hai fiza aaj kaali ghata bhi
Tufaan ke aane se pehale ki ye awargii
Khamosh leheron ke kinare se, Aksar dekha hai ye manzar maine bhi
Panchi ke udne se pahele ki, Khuda ki ek aur diwangii
Guru
Bahut bahut shukriya iss pate tak pahunchne ka aur is baat ki ittela karna ke aapko meri kavita pasand aayee.. aapke dost ko meri daad farmaiyega... waqt - waqt ke ehasaas badal sakte hein :)
thanks for visiting and letting me know, appreciate it.
Cheers
Fiza
Post a Comment